Islamic quotes in Urdu Text
Islamic quotes in Urdu text laakhon momineen ke dilon mein gehra asar rakhti hay. Ye Aqwal-e-Zareen Islam ki taleem mein paayi jane wali hikmat ko jhalkate hain. Is blog post mein, hum **Islamic quotes in Urdu text** ki khubsurati ko dakhain gain. Islamic quotes Ki ahmiyat aur asar par roshni daalain gay.
Islamic quotes in Urdu with images,
Is soch ke sath zindagi mein aage barho ke Allah ne yaqeenan behtareen hi socha hoga.
Hazrat Ali (R.A)
Hum se ghalti ho jaaye to shaitan ki tarah diler nahin hona chahiye balkay maafi maang leni chahiye kyunke hum ibn Adam hain, ibn Iblis nahin.(Imam Muhammad Ghazali)
Bardasht ke kaanon se suno, rahm ki ankhon se dekho, aur mohabbat ki zubaan se baat karo. (Maulana Rumi)
2 lines Islamic quotes in Urdu text
2 lines Islamic quotes in Urdu text hikmat ka khazana hain, jo zindagi ke mukhtalif pehluon par rehnumai faraham karte hain. ye quotes,Iman aur ruhaniyat ke masail se lekar roz marra ki zindagi ke liye amli mashwray tak, momineen ke dilon mein gehrai tak pholte hain.
Teen auraton se hamesha door raho tumhein kangaal kar dein gi:
1.Jhooti aurat jo hamesha tumhein dhokay mein rakhe gi.
2.Bukheel aurat jo apne thore se nafay ke liye tumhara bohot sa nuqsan kar degi.
3.Bad amal aurat jo tumhein ek nawale par bech daale gi. (Imam Ghazali)
Jab aqal par parda par jaaye to samjhaane wala aadmi sab se bura lagnay lagta hai. (Maulana Jalaluddin Rumi)
Jahan pani girta hai wahan sabza ugta hai, jahan aansu girtay hain wahan Rab ki rahmat utarti hai. (Maulana Jalaluddin Rumi)
Best Islamic quotes copy and paste 2024
Islamic quotes in Urdu text 2024 ka ek khaas pehlu ye hai ke ye aasaani se logon ke darmiyan taqseem ki ja sakti hain.Islamic quotes in Urdu text ki khubsurati ye hai ke ye imani aur ruhaani rehnumai faraham karte hain.
اگر تیرا دوست تنہائی میں تجھے تیرے عیوب سے اگاہ کرے تو چاہیے کہ اس کا احسان مانی اور غصہ نہ کرے کیونکہ یہ ایسا ہے کہ جیسے کوئی شخص تجھے اگاہ کرے کہ تیرے کپڑوں میں سانپ ہے تو تو اس کی بات پر غصہ نہ ہوگا اور اس کا مشکور ہوگا
(امام محمد غزالی)
_______✨ ✨✨_______
Imam Ghazali quotes
Agar tera dost tanhai mein tujhe tere aib se agah kare to chahiye ke us ka ehsan mani aur ghusa na kare kyunke yeh aisa hai ke jaise koi shakhs tujhe agah kare ke tere kapron mein saanp hai to tu us ki baat par ghusa na hoga aur us ka mashkoor hoga. (Imam Muhammad Ghazali)
_______✨ ✨✨_______
جب مجھے پتہ چلا کہ محل کے بستر اور خالی زمین پر سونے والوں کے خواب ایک جیسے اور قبر بھی ایک جیسی ہوتی ہے تو مجھے اللہ کے انصاف پر یقین اگیا
(امام غزالی)
Jab mujhe pata chala ke mahal ke bistar aur khali zameen par sone walon ke khawab ek jaise aur qabar bhi ek jaisi hoti hai to mujhe Allah ke insaaf par yaqeen aagaya. (Imam Ghazali)
_______✨ ✨✨_______
ایک جگہ ایسی ہے جو شہوت کی اگ کو تیز کر دیتی ہے اور وہ ہے ایسی سما یا مجلس جہاں مردوں کے ساتھ عورتیں بھی موجود ہوں اور حاضرین مجلس جوان اور اہل غفلت ہوں اور ایسی مجلس حرام ہے
(امام محمد غزالی)
Ek jagah aisi hai jo shahwat ki ag ko tez kar deti hai aur woh hai aisi sama ya majlis jahan mardoon ke sath aurtein bhi mojood hon aur hazreen majlis jawan aur ahl-e-ghaflat hon aur aisi majlis haram hai. (Imam Muhammad Ghazali)
_______✨ ✨✨_______
Maulana Jalaluddin Rumi quotes
اپنا غرور اتار دو اور عاجزانہ لباس پہن لو تم دنیا سے بڑے ہو جاؤ گے آپ کی ذات آپ پر ظاہر ہوگی تمہارے بغیر
(مولانا جلال الدین رومی)
Apna ghuroor utaar do aur aajizana libas pehn lo, tum duniya se baray ho jaoge, aap ki zat aap par zahir hogi tumhare baghair. (Maulana Jalaluddin Rumi)
_______✨ ✨✨_______
یہ نفس بد یقین ہے جس نے نمرود کو بھی تباہ کیا ایک پھاڑ کھانے والا بھیڑیا ہے اپنے نفس کی ہمیشہ مخالفت کرتے رہو
(مولانا جلال الدین رومی)
Yeh nafs bad yakeen hai jis ne Namrood ko bhi tabah kiya, ek phaad khanay wala bheriya hai apne nafs ki hamesha mukhalifat karte raho.
(Maulana Jalaluddin Rumi)
_______✨ ✨✨_______
Hazrat Abu-Baker (R.A) quotes
باپ ایک کتاب ہے جس پر تجربات تحریر ہوتے ہیں اسے اپنے سے دور مت رکھو
(حضرت ابوبکر صدیق)
“Bap ek kitaab hai jis par tajurbaat tehreer hote hain, use apne se door mat rakho.
(Hazrat Abu Bakr Siddiq)
_______✨ ✨✨_______
لوگوں سے تکلیف کو دور کر کے خود اٹھا لینا حقیقی سخاوت ہے
Logon se takleef ko door kar ke khud utha lena haqeeqi sakhaawat hai.
_______✨ ✨✨_______
گناہوں کی ایسی دیوار کھڑی نہ کریں جو اپ کو اللہ سے دور کر دے
Gunahon ki aisi deewar khadi na karo jo apko Allah se door kar de.
_______✨ ✨✨_______
صدقہ فقیر کے سامنے عاجزی سے اور با ادب پیش کرو کیونکہ خوش دلی سے صدقہ دینا ہی قبولیت کا نشان ہے
(حضرت ابوبکر صدیق)
Sadqa faqeer ke samne ‘ajzi’ se aur ba adab pesh karo, kyunke khushdili se sadqa dena hi qabooliyat ka nishan hai.
(Hazrat Abu Bakr Siddiq)
_______✨ ✨✨_______
جب تک موت نے مہلت دے رکھی ہے اس وقت تک تم لوگ نیک اعمال میں ایک دوسرے سے آگے بڑھنے کی کوشش کرو اس سے پہلے کی موت اآجائے اور عمل کرنے کا موقع نہ رہے
(حضرت ابوبکر صدیق)
Jab tak maut ne mohlat de rakhi hai, us waqt tak tum log neik aamaal mein ek doosre se aage barhne ki koshish karo, us se pehle ki maut aa jaye aur amal karne ka mauqa na rahe.”
_______✨ ✨✨_______
Hazrat Ali (R.A) quotes
اخلاق وہ موتی ہے جس کی کوئی قیمت نہیں ہوتی مگر اس سے ہر چیز خریدی جا سکتی ہے۔
(حضرت مولا علی)
Akhlaq woh moti hai jis ki koi qeemat nahi hoti magar us se har cheez kharidi ja sakti hai.
(Hazrat Mola Ali)
_______✨ ✨✨_______
کسی کے منہ پر بے عزتی کرنا اسے قتل کر دینے کے برابر ہے۔
(حضرت مولا علی)
Kisi ke munh par be izzati karna usay qatal kar dene ke barabar hai.
(Hazrat Mola Ali)
_______✨ ✨✨_______
دنیا کا امیر شخص وہ ہے جس کے دوست مخلص ہوں۔
(حضرت علی)
Dunya ka ameer shakhs woh hai jis ke dost mukhlis hon.
(Hazrat Ali)
_______✨ ✨✨_______
جب لوگ غصے میں ہوں تو ان کی بات غور سے سنا کرو کیونکہ اصل حقیقت تب سامنے آتی ہے۔
(حضرت مولا علی)
Jab log ghussay mein hon to unki baat ghor se suna karo kyunke asal haqeeqat tab samne aati hai.”
(Hazrat Mola Ali)
_______✨ ✨✨_______
Here’s you can find more famous poet,sad poetry,love poetry.
You can also visit for more real poetry on cafe Adab.
1 thought on “Islamic quotes in Urdu Text 2 lines 2024”