Sad poetry in Urdu text & sad Urdu poetry text

Sad poetry in Urdu text
Sad poetry in Urdu text

Sad poetry in Urdu text

Poet share his emotion through sad poetry in Urdu text. With in the realm of sad Urdu poetry, several recurring themes and motifs emerge, each contributing to the rich tapestry of emotions woven by poets throughout the centuries. 

Here you can read sad poetry in Urdu text with images and Roman Urdu.

Sad poetry in Urdu text

 

Ab muskurana toh meri majboori ban gayi hai,

Udasi honge toh log samjhein ge ke hum mohabbat mein haar gaye.

 

Sad Urdu poetry text

 

Saari raat takleef deta hai yehi ek sawaal humein,

Wafa karne walay hamesha akelay kyun reh jaate hain.

 

Urdu sad Poetry
Sad poetry in Urdu text

 

Udasi thi woh parinde bhi jo kal shaam ko lote tere shehr se,
Shayad unko bhi manzil nahi mili hum badnaseebon ki tarah.

 

Urdu sad Poetry

 

Mein tumse kaise kahoon, ae mere meharbaan,

Tu hi ilaaj hai meri har udasi ka.

 

Sad poetry in Urdu text

 

Sirf ek baar tum palat ke dekhte to sahi,

Hum aaj bhi wahi khade hain jahan tum chhod aaye the.

 

Sad poetry Urdu text

 

Kab se apni nayi tasveer nahi banayi hum ne,

Arse hoa khud ko achay nahi lagay hum.

 

Urdu poetry Sad text

 

Udaasi aur mayoosi bharri ek shaam aayegi,

Meri tasveer rakh lena tumhare kaam aayegi.

 

Sad poetry in Urdu text

 

Dil ki basti veeran karke chala gaya,

Jo shakhs kehta tha bara pyar hai tum se.

 

Sad poetry in Urdu text

Sad poetry in Urdu text

 

Insaan ki sab se khoobsurat dunya khayalon ki,

Dunya hoti hai jahan woh apni marzi ki zindagi.

 

Sad poetry in Urdu text

 

Hamara muskurana toh bas dard chhupane ka bahana hai,

Hamare jaisa honay ki kabhi khwahish mat karna.

 

Sad Poetry Urdu text

Sad poetry in Urdu text ki duniya mein anokhi aur gehri shayari ka izhar hota hai. Urdu zuban ki khoobsurat taqat se, yeh shayari dil ko choo jati hai. Yeh shayari aksar mohabbat, judai, aur afsos jaise aham mawad par mabni hoti hai.yahan per sad Poetry Roman or Urdu language may di gai hay .

 

زمانہ کیا جانے سبب میری آنکھوں کا

ہم آنکھوں میں سمندر لئے پھرتے ہیں

 

Zamana kya jaane sabab meri aankhon ka,

Hum aankhon mein samandar le phirte hain.

 

 

خوشیاں دیکھ کے میری فقیر نے کہا مجھ سے

صدقہ دے دیا کرو اپنی اداسی کا

 

 

Khushiyan dekh ke meri faqir ne kaha mujh se,

Sadaqah de diya karo apni udasi ka.

 

خود کو سنتے ہیں اس طرح جیسے

وقت کی آخری صدا ہیں ہم

 

Khud ko sunte hain iss tarah jaise,

Waqt ki aakhri sada hain hum.

 

 

یہ عشق کی دنیا بھی عجیب ہے صاحب

جو دل میں رہتے وہی دل توڑ جاتے ہیں

 

Yeh ishq ki dunya bhi ajeeb hai saahib,

Jo dil mein rehte wohi dil tor jaate hain.

 

ایسا بھی کوئی ورد یا آیت سکون کی

اے ربِ ذوالجلال مرا دل اداس ہے

 

Aisa bhi koi wazifa ya aayat sukoon ki,

Aye Rabb-e-Zuljalal mera dil udas hai.

 

بعض اوقات تکلیف اتنی ہوتی ہے کہ اللہ کے

سوا کسی اور سے بات کرنے کو دل ہی نہیں کرتا

 

 

Baaz oqaat takleef itni hoti hai ke Allah ke,

Siwa kisi aur se baat karne ko dil hi nahi karta.

 

Sad poetry in Urdu text dil ko choo jane wali anmol johri hai. Is mein shair apni dard bhari kahaniyan bayan karte hain, jinhe sun kar insani rooh kaamp jati hai.

 

 

کچھ اداسیاں اتنی ذاتی ہوتی ہیں کہ

ہم چاہ کر بھی کسی کو اس میں شریک نہیں کر سکتے

 

 

Kuch udasiyan itni zaati hoti hain ke,

Hum chaah kar bhi kisi ko is mein shareek nahi kar sakte.

 

 

آج کافی طبیعت ناساز ہے میری؟

آج سانس لینے کو جی نہیں چاہ رہا؟

 

Aaj kaafi tabiyat nasaz hai meri?

Aaj saans lene ko ji nahi chah raha?

 

 

انسان کتنا ہی خوش قسمت کیوں نہ ہو

کچھ خواہشیں ادھوری رہ جاتی ہیں

 

Insaan kitna hi khush qismat kyun na ho,

Kuch khwahishen adhuri reh jaati hain.

 

 

ہم لکھ نہیں پاتے اب اپنے الفاظ

لوگوں نے اندر سے بہت جلا دیا ہے

 

Hum likh nahi paate ab apne alfaaz,

Logon ne andar se bohot jala diya hai.

 

ﺍﭘﻨﮯ ﺳﺎﺗﮫ ﮨﻮﮞ ﻧﮧ ﺗﯿﺮﮮ ﭘﺎﺱ ﮨﻮﮞ

ﻣﯿﮟ ﮐﺌﯽ ﺩﻧﻮﮞ ﺳﮯ ﯾﻮﻧﮩﯽ ﺍﺩﺍﺱ ﮨﻮﮞ

 

 

Apne sunte rooh mein utar jaayein to,

Ronaqain muthar nahi karti.

 

اک بے نام اداسی سے بھری بیٹھی ہوں

آج دل کھول کے رونے کی ضرورت ہے مجھے

 

Ek be naam udaasi se bhari baithi hoon

Aaj dil khol ke ronay ki zaroorat hai mujhe

 

 

‏وقت جیسے ٹھہر گیا ہے یہیں ہر طرف ایک عجب اداسی ہے

بیقراری کا ایسا عالم ہے جسم تنہا ہے روح پیاسی ہے

 

Waqt jaise theher gaya hai yahiin

Har taraf ek ajab udaasi hai

Beqarari ka aisa aalam hai jism tanha hai, rooh pyaasi hai

 

تیرے بعد تو یہ عالم ہے کہ

مسکرانے کیلئے بهی بہت محنت کرنی پڑتی ہے

 

 

Tere baad to yeh aalam hai ke

Muskurane ke liye bhi bohot mehnat karni padti hai

 

 

اے خدا پھر سے ایک بار بنا

اب میں خیال رکھوں گا اپنا

 

Aye Khuda phir se ek baar bana

Ab mein khayal rakhunga apna

 

60+ sad Poetry in Urdu text

 

خود سے بھى روٹھ گیا ہے

ایک شخص اتنا ٹوٹ گیا ہے

 

Khud se bhi rooth gaya hai

Ek shakhs itna toot gaya hai

 

 

زندگی سے ہار کے ہی سہی لیکن

مسکرانا سیکھ لیا ہے اب میں نے

 

Zindagi se haar ke hi sahi lekin,

Muskurana seekh liya ab main ne.

 

 

وہ شکوے جو میں نے نہیں کیے

ساری زندگی تم پر قرض رہیں گے

 

 

Woh shikwe jo main ne nahi kiye,

Saari zindagi tum par qarz rehain ge.

 

جی اب تھک چکا ہوں آپ کو ہی نہیں

خود کو بھی برا لگتا ہوں میں

 

Jee ab thak chuka hoon aap ko hi nahi,

Khud ko bhi bura lagta hoon main.

 

 

زرتے وقت کی ہر چاپ سے میں ڈرتی ہوں

نہ جانے کون سا لمحہ اداس کر جائے

 

 

Zarre waqt ki har chaap se main darta hoon,

Na jaane kaun sa lamha udas kar jaye.

 

جی سکتا ہے چاہے وہ چند سیکنڈ کی ہی کیوں نہ ہو

اب میں مکمل اجڑ چکا ہوں

اب اداسی بھی میرے گھر نہیں آتی

 

 

Je sakta hai chahe woh chand seconds ki hi kyun na ho,

Ab mein mukammal ujar chuka hoon.

Ab udasi bhi mere ghar nahi aati.

 

اداس لوگ یونہی نہیں مسکراتے

غموں سے چھین کر لاتے ہیں ہنسی اپنی

 

 

Udasi log yunhi nahi muskuratain,

Ghamon se cheen kar late hain hasi apni.

 

مجھے منظور ہے اب سب سے الگ رہنا

تنہا رہنا چپ رہنا سب سہنا

 

 

Mujhe manzoor hai ab sab se alag rehna,

Tanha rehna, chup rehna, sab sehna.

 

 

تم کہاں تک کرو گے دلجوئی؟

میں تو اکثر اداس رہتا ہوں

 

 

Tum kahan tak karoge diljoi?

Mein to aksar udas rehta hoon.

 

 

تم سے ملنے کی دیر ہے جاناں

زندگی مجھ میں لوٹ آئے گی

 

 

Tumse milne ki der hai, jaan,

Zindagi mujh mein laut aayegi.

 

 

کون کہتا ہے ملاقات نہیں ہوتی

روز ملتے ہیں مگر بات نہیں ہوتی

 

Kaun kehta hai mulaqat nahi hoti,

Roz milte hain magar baat nahi hoti.

 

 

‏بے شمار زخموں کی مثال ہوں میں

پھر بھی ہنس لیتا ہوں کمال ہوں میں

 

 

Be shumaar zakhamon ki misaal hoon mein,

Phir bhi hans leta hoon, kamaal hoon mein.

 

محبت کے غم نے اتنا رلایا ہے

کہ اب جینے کے قابل ہی نہیں

 

 

Mohabbat ke gham ne itna rulaya hai,

Ke ab jeenay ke qabil hi nahi.

 

 

روح کی اداسی نہیں جاتی

میں ہنس ہنس کے تھک جاتا ہوں

 

 

Rooh ki udasi nahi jaati,

Mein hans hans ke thak jata hoon.

 

کچھ مر سا گیا ہے میرے اندر

دل اب حسرتیں نہیں کرتا

 

 

Kuch mar sa gaya hai mere andar,

Dil ab hasratein nahi karta.

 

میرا ظرف سمجھو یا میری ذات کا پردہ

جب سے ٹوٹی ہوں خاموش رہتی ہوں

 

 

Mera zarf samjho ya meri zaat ka pardah,

Jab se tooti hoon, khamosh rehti hoon.

 

دنیا دھندلی ہو جاتی ہے

جب خواب آنکھوں میں رہ جائیں

 

Dunya dhundli ho jaati hai,

Jab khwaab aankhon mein reh jaate hain.

 

محبت تو پرانے زمانے کی بات تھی

جب لوگ سچے مکان کچے تھے

 

Mohabbat toh purane zamane ki baat thi,

Jab log sachay makaan kachay thay.

 

ایک انساں ہے زندگی جیسا

اور وہ میری زندگی میں نہیں

اس کی خوشبو سے معطر ہے میری تنہائی

یاد اس کی مجھے تنہا نہیں ہونے دیتی

 

Aik insaan hai zindagi jaisa,

Aur woh meri zindagi mein nahi,

Is ki khushbu se mehakta hai meri tanhai,

Yaad is ki mujhe tanha nahi hone deti.

 

مدہوش تیری یاد نے رکھا کچھ اس قدر

عرصہ ہوا ہے خود کو میں خود سے نہیں ملا

 

Maddosh teri yaad ne rakha kuch iss qadar,

Arse hoa hai khud ko mein khud se nahi mila.

 

جھانک کر دیکھا جب خود میں

کئی جذبات کی لاشیں پڑی تھیں

 

Jhank kar dekha jab khud mein,

Kayi jazbat ki laashain pari thi.

 

آج کافی طبیعت ناساز ہے میری

آج سانس لینے کو جی نہیں چاہ رہا

 

Aaj kaafi tabiyat nasaz hai meri,

Aaj saans lene ko ji nahi chah raha.

 

میں بے تحاشہ بے وجہ ہنستی ہوں

اس ڈر سےکہ کہیں رو نہ پڑوں

 

Mein be-tahash be-wajah hasti hoon,

Is dar se ke kahin ro na padun.

 

آج سارا دن اداس گزرا

ابھی رات کا عذاب باقی ہے

 

Aaj sara din udaas guzra,

Abhi raat ka azab baqi hai.

 

کیا مجبوریاں تھی میری بھی

اپنی خوشی کو چھوڑ دیا اسے خوش دیکھنے کے لیے

 

Kya majbooriyan thi meri bhi,

Apni khushi ko chhod diya use khush dekhne ke liye.

 

ہاں سچ ہے ہنستی بہت ہوں مگر

ہنسنے کا مطلب خوش رہنا تھوڑی ہے

 

Haan sach hai hansti bahut hoon magar,

Hansne ka matlab khush rehna thodi hai.

 

سناٹے روح میں اتر جائیں تو

رونقيں متاثر نہیں کرتی

 

Sunate rooh mein utar jaayein to,

Ronaqain muthar nahi karti.

 

Sad poetry in Urdu text, SMS

Apni haalat ka bhi ehsaas nahi hai mujh ko,

Auron se suna hai ke pareshan hoon main.

 

Hawa bhi ho, nami bhi ho, baarish na ho to kya faida,

Yaar bhi ho, deed bhi ho, mile na to kya faida.

 

 

Woh log aate hain kyun zindagi mein,

Bichadna hota hai jin ko kisi bhi bahane se.

 

Chalo phir laut kar chalte hain bachpan mein,

Bohat din hue hain is bekarr duniya mein rehte.

 

Ab maut bhi aa jaye to koi gham nahi,

Woh shakhs hi chhor gaya jis ke liye jiya karte the.

 

Woh shakhs jo mera kabhi tha hi nahi,

Us ne mujhe kisi ka bhi hone bhi nahi diya.

 

Hum duniya se jab tang aaye karte hain,

Apne saath ek shaam manaya karte hain.

 

Aaj mere wujood par udasi ki gehma gehmi hai,

Aaj itna udas hoon udasi bhi sehami sehami hai.

 

Waqt insaan par aisa bhi kabhi aata hai,

Raah mein chhod kar saya bhi chala jata hai.

 

Bohat be-khayal lamhe hain ajab bojhul tabiyat hai,

Na gham se dil behlta hai na khushiyan raas aati hain.

 

Khuda ne likha hi nahi tujh ko meri qismat mein shayad,

Warna khoya to bohot kuch tha ek tujhe paane ke liye.

 

 

Koi udaas hota hai to hum tadap jaate hain,

Aaj hum udaas hue to kisi ne haal tak nahi poocha.

 

Mein bad-naseeb hoon mujh ko na de khushi itni,

Ke mein khushi ko bhi le kar kharab kar doon ga.

 

Badlon ka bhi mere jaisa haal hai,

Kuch bhi batate nahi, bas royen ja rahe hain.

Meri khwahishat to kab ki mar gayi hain,

Ab kuch zimmedariyon ne zinda rakha hua hai.

 

Insaan ko apne baybas honay ka ehsaas tab hota hai,

Jab woh kisi ko dekhne ke liye us se baat karne ke liye taras jata hai.

 

Mein hansne walon ke saath hans to leta hoon,

Magar udaasi mere halk tak bhari hui hai.

 

Jitna zyada socho ge utni zyada azziyat mein raho ge,

Ya to apne aap ko mazboot kar lo ya mashroof kar lo.

 

Conclusion

I hope you really enjoyed this these sad Poetry in Urdu text. Please share this with your friends. You also read more poetry on Google .

If you want to read love Poetry then click on it .