Love, the most profound of human emotions, finds its purest expression through love poetry. In the realm of literature, few genres captivate the heart and soul quite like love poetry. From Shakespearean sonnets to the mystical verses of Rumi, love poetry transcends time and culture
Love poetry in Urdu
Urdu poetry ki shaan o shaukat ka koi jawab nahi.Urdu shayari ki khoobsurati aur gehraai ko koi na samajh sakta. Mohabbat ki shayari ki asliyat ko samajhna aur usay apni zubaan se izhaar karna kisi bhi shayar ka kaam hai. here you can Urdu poetry love with images.
Bhala paana bohot mushkil hai sab kuch yaad rehta hai,
Mohabbat karne wala us liye barbaad rehta hai.
Hum tumhein kitna chahte hain un uljhanon mein mat paro,
Tumhare to gumanon se bhi yeh bohot aage ki baat hai.
Qatra qatra mere halk ko tar karti hai,
Meri rag rag mein teri mohabbat safar karti hai.
Mere sukoon ki ibtida se lekar
Meri azmat ki aakhri had ho tum
Itna bhi khubsurat na howa kar ae mausam
Ab har kisi ke paas mahboob nahi hota
Tukde pade thay raah mein tasveer ke bohot,
Lagta hai koi deewana samajhdaar ho gaya.
Mohabbat mein adhoorepan ka mein nahi qail
Mujhko chaho to meri jaan mukammal chaho
Tera shumaar barhane ko safr ho jaun
Mujhe bas itna bata de kahan nahi hona
Kamaal ki mohabbat thi kuch logon ki hum se
Bin bataye shuru hui aur bin bataye khatam
Dekh itna ke nazar hi lag jaaye mujh ko,
Teri nazar se mar jaana achha lagta hai.
Mera har din khubsurat bana deta hai tumhara saath
Chand lamhon ki baatein aur kuch pal ka muskurana
Umra bhar teri mohabbat meri khidmat gar rahi,
Main teri khidmat ke qabil jab hua to chal basi.
Main chahti hoon ke woh aur ji le,
Lekin woh to mujh pe marta ja raha hai.
Main jab so jaaun un aankhon pe apne hont rakh dena
Yaqeen aa jaye ga palkon tale bhi dil dharakta ha
Kabhi mil kar raqibon se hamaare haal pe hansna,
Kabhi meri mohabbat mein gul o gulzar ho jaana.
2 lines Love shayari Urdu text
Mohabbat ki shayari mein Urdu zubaan ka istemaal bohot ahem hota hai. Yeh zubaan emotions ko behad gehraayi se bayan karne ki salahiyat rakhti hai. Mirza Ghalib, Faiz Ahmed Faiz, aur Allama Iqbal jaise mashhoor shayaron ne apni shayari mein love poetry ka izhaar kiya hay.
Here you can read love poetry in Urdu and Roman Urdu language.
زندگی بھر قرض دار رہے گے تمہارے
کچھ خوبصورت پل ادھار کر دو نام ہمارے
Zindagi bhar qarz daar rahenge tumhare,
Kuch khoobsurat pal udhaar kar do naam hamare.
تم کیا کروگے محبت کی انتہا
ہم نے انتہا سے محبت کی ہے
Tum kya karoge mohabbat ki inteha,
Hum ne inteha se mohabbat ki hai.
سمجھدار ہی کرتے ہیں غلطیاں صاحب
کبھی کسی پاگل کو دیکھا ہے محبت کرتے
Samajhdaar hi karte hain ghaltiyan sahib,
Kabhi kisi pagal ko dekha hai mohabbat karte.
پوری ہو جاتی اگر کوئی کہانی ہوتی
یہ محبت ہے میاں ! اِس میں کسک رہتی ہے
Puri hoti agar koi kahani hoti,
Yeh mohabbat hai miyaan! Is mein kisk rahti hai.
دنیا میں محبت آج بھی برقرار ہے
کیونکہ ایک طرفہ پیار آج بھی وفادار ہے
Duniya mein mohabbat aaj bhi barqarar hai,
Kyun ke ek tarafah pyaar aaj bhi wafadar hai.
محبت ایسا منفرد کھیل ہے
جو سیکھ جاتا ہے وہی ہار جاتا ہے
Mohabbat aisa munfarid khail hai,
Jo seekh jaata hai wohi haara jaata hai.
رات هوگئی ہے وہاں کوئی نہیں هوگا
آؤ غالب ان کے گهر کی دیوار چوم آتے هیں
Raath ho gayi hai wahan koi nahi hoga,
Ao Ghalib unke ghar ki deewar chum aate hain.
مجھے تم سے شکایت نہیں لیکن
یاد آتا ہےتیرا مجھ سے محبت کرنا
Mujhe tum se shikayat nahi lekin
Yaad ata hai tera mujh se mohabbat karna.
مجھے چاہتے ہوں گے اور بھی چاہنے والے
مگر مجھے محبت اپنی محبت سے ہے
Mujhe chahte honge aur bhi chaahne wale,
Magar mujhe mohabbat apni mohabbat se hai.
جیسے دھاگہ ہو کوئی تسبیح میں
ایسے سانسوں کے درمیان ہو
Jaise dhaaga ho koi tasbeeh mein,
Aise saanson ke darmiyaan ho.
زندگی سے نمٹ رھا ہوں
موت کیا ہوتی ہے خدا جانے
Zindagi se namat raha hoon
Maut kya hoti hai Khuda jaane
میرےہونٹوں پہ کسی لمس کی خواہش ہےشدید
ایسا کچھ کر مجھے سگریٹ کو جلانا نہ پڑے
Mere honton pe kisi lams ki khwahish hai shadid
Aisa kuch kar mujhe cigarette ko jalana nah pare
دل کی ضد ہو تم ورنہ
ان آنکھوں نے بہت لوگ دیکھے ہیں
Dil ki zidd ho tum warna
Un aankhon ne bohot log dekhe hain
پوری ہو جاتی اگر کوئی کہانی ہوتی
یہ محبت ہے میاں ! اِس میں کسک رہتی ہے
Puri ho jaati agar koi kahani hoti
Yeh mohabbat hai miyan! Iss mein kaisk rehti hai
زندگی چین سے گزر جائے
تو اگر ذہن سے اتر جائے
Zindagi chain se guzar jaaye
To agar zehan se utar jaaye
نقاب کیا چپائے گا شباب حسن کو
نگاہ عشق تو پتھر بھی چیردیتی ہے
Naqab kya chhupaye ga shabab-e-husn ko
Nigah e ishq to pathar bhi cheer deti hai
مجھ کو مارا گیا ہے نفرتوں سے
مجھ پر محبت کا الزام تھا
Mujhko maara gaya hai nafraton se
Mujh par mohabbat ka ilzaam tha
ہماری بھی سنبھل جاۓ گی حالت
وہ پہلے اپنی زلفیں تو سنبھالیں
Hamari bhi sambhal jaayegi haalat
Woh pehle apni zulfain to sambhalein
سمجھ کرمال غنیمت مجھ کو
اس کی یادوں نے بے پناہ لوٹا
Samajh kar maal ghanimat mujh ko
Us ki yaadon ne be panah luta
میں نے چاہا تھا زخم بھر جائیں
زخم ہی زخم بھر گئے مجھ میں
Main ne chaha tha zakham bhar jaayein
Zakham hi zakham bhar gaye mujh mein
کچھ تو مجبوریاں رہی ہوں گی
یوں کوئی بے وفا نہیں ہوتا
Kuch to majbooriyan rahi hongi,
Yun koi bewafa nahi hota.
کیا خبر اب وہ کہاں رہتا ہے،
خوش رہے یار جہاں رہتا ہے
Kya khabar ab woh kahan rehta hai,
Khush rahe yaar jahan rehta hai.
نہیں تھا اعتبار اس کو میرے خلوص پر
کھو دیا اس نے مجھے…آزماتے آزماتے
Nahin tha ittebar usko mere khuloos par,
Kho diya usne mujhe… azmaate azmaate.
بنا مطلب کے بات کرے مجھ سے
ایسے ایک شخص کی تلاش میں ہوں
Bina matlab ke baat kare mujhse,
Aise ek shakhs ki talash mein hoon.
Best Love poetry in Urdu 2024
Love poetry waqt aur culture ke bawajood zamanay aur maqam ki shakhsiyat hai. Urdu adab mein iski maqbooliat aur qadr hai. Urdu love poetry , mohabbat , judai aur *milaap* jaise mizaaji masael par mabni hai, jo insan ke rishton ki gehraiyon ko daryaft karti hai.
Love poetry in Urdu for SMS text
Here love poetry given in Roman Urdu only. You can uses these Urdu shayari for SMS text to send your lovers.
Haye woh log jinhein hum ne bhala rakha hai,
Yaad aate hain to saansoon se lapet jaate hain.
Koi to dila de, qaid-e-ishq se rahai
Wada raha phir nahi karoonga, dawa mohabbat ka
Pehle pyaar karta hai phir iqraar karta hai,
Mohabbat bhi insaan ek baar karta hai.
Yeh arzoo hai ke main tujhe khud se zyada chahoon,
Main rahoon ya na rahoon meri wafa yaad rakho ge.
Tittliyan aa kar beth gayi meri kitaab par,
Zikr aa ya jab tera dastanon mein.
Is raah-e-mohabbat ki tum baat na poocho,
Anmol jo insaan the be mol bikte hain.
Is ki aadat hai mere baal bigaade rakhna,
Is ki koshish hai kisi aur ko achha na lagu.
Karne hain agar shikwe mahboob se
Phir chhod de mohabbat koi aur kaam kar
Sunu mujh se nahin hota daleelen doon misaalen doon
Meri aankhon mein likha hai mujhe tum se mohabbat hai
Mujh ko is shakhs ke uflaas pe reham aata hai
Jis ko har cheez mili, sirf mohabbat nah mili
Koi to dila de, qaid-e-ishq se rahai
Wada raha phir nahi karoonga, dawa mohabbat ka
Qasam se koi shoq nahin tha mohabbat karne ka
Woh to dekha tujhe dil bighawat kar baitha
Kuch na ukhaṛ sako ge hum se dushmani karke,
Humain barbaad karna hai to hum se mohabbat kar le.
Bada yaqeen tha mujhko meri mohabbat par,
Bade yaqeen se haara hoon zindagi apni.
Mohabbat aur maut ki pasand to dekho,
Ek ko dil chahiye, doosre ko dhadkan.
Humne mohabbat mein yaar ko jigar khoon pilaya,
Magar is yaar ne jigar kisi aur pe lagaya.
Tum haqeeqat ‘ishq ho ya fareb meri aankh ka,
Na dil se nikalte ho na zindagi mein aate ho.
Hamari mohabbat ki nazakat se abhi na waqif ho tum,
Hum use jeena sikhade hain jise marnay ka shoq ho.
Aur kya chahiye tumhe meri mohabbat ka saboot,
Mujhe to tumhare naam ke log bhi achhe lagte hain.
Yeh junoon hai ke mohabbat ki alamat koi,
Teri surat, mujhe har shay mein nazar aati hai.
Yeh arzoo hai ke main tujhe khud se zyada chaahun,
Main rahun ya na rahun meri wafa yaad rakhoge.
Kitne jhoothe the hum mohabbat mein,
Tum bhi zinda ho main bhi zinda hoon.
Silsila ‘ishq ka hai aaj bhi urooj par,
Koi chaah ke toot’ta hai, koi chahta hai toot kar.
Pehle pyar karta hai phir iqraar karta hai,
Mohabbat bhi insaan ek baar karta hai.
Mera is shakhs se bas itna sa talluq hai,
Use jab dard hota hai mujhe mehsoos hota hai.
Aur kuch zakhm mere dil ke hawale meri jaan,
Yeh mohabbat hai mohabbat mein shikayat kaisi.
Woh shakhs mujhe apne lafzon mein samjha raha tha,
Aur hum jaise nadaan mohabbat samajh bete.
Mujhe wazifon se laya gaya shehar mohabbat mein,
Warna main kisi ki baaton mein aati to nahin.
Conclusion
In the tapestry of human experience, love poetry stands as a testament to the enduring power of emotion and expression. Through the evocative verses of Urdu love poetry, we glimpse the boundless depths of the human heart.
You can also visit our website on Google. If more poetry like sad poetry or love poetry so , you can also visit Romantic Urdu Poetry.
13 thoughts on “Love poetry | Urdu poetry love”