I think you are alone today, And you are searching for best tanhai Poetry in Urdu ! Then you are on right place.
Tanhai poetry, has been a deep theme for those who express their feelings through words. Urdu poets have beautifully portrayed the emotional depth and complexity of loneliness. Tanhai poetry in Urdu best portrays the pain of these people, be it the pain of separation, the memory of a loved one, or the inner dialogue of a lonely soul.
For those who embrace silence and solitude, it becomes a source of contentment. In this blog, we examine the best examples of Urdu poetry.
بظاہر محفلوں کی جان ہوں میں
لیکن حقیقتا تنہائی کا مارا ہوں
Bazahir mehfilon ki jaan hoon main
Lekin haqeeqatan tanhaai ka maara hoon
میں تنہائی پسند نہیں ہوں ہاں مگر
بناوٹی رشتوں سے دم گھٹتا ہے میرا
Main tanhaai pasand nahi hoon haan magar
Banaawti rishton se dam ghutta hai mera
اپنے سائے سے چونک جاتے ہیں
عمر گزری ہے اس قدر تنہا
Apne saaye se chonk jaate hain
Umar guzri hai is qadar tanha
نہ ملا تھا کوئی کندھا اس کو
گلے لگا کے خود کو روئی تھی
Na mila tha koi kandha us ko
Galay laga ke khud ko royi thi
تنہا نہیں ہوں میں
مجھ میں بسا ہے وہ
Tanha nahi hoon main
Mujh mein basa hai woh
تم کبھی بھی نہیں جان سکتے
بھیڑ میں تنہا ہونا کیسا ہوتا ہے
Tum kabhi bhi nahi jaan saktay
Bheir mein tanha hona kaisa hota hai
دھڑکنیں گونجتی ہیں سینے میں
اتنے سنسان ہو گئے ہیں ہم
Dharkanen goonjti hain seenay mein
Itne sunsaan ho gaye hain hum
اکیلے آۓ تھے اکیلے جائے گے
ناجانے اکیلے رہا کیوں نہیں جاتا
Akele aaye thay akele jaaye ge
Na jaane akele raha kyun nahi jaata
Also check sad poetry for Life here .
کتنی خاموش تھی وہ ہجر کی رات
دل کی دھڑکن سے کان پھٹتے تھے
Kitni khaamosh thi woh hijr ki raat
Dil ki dharkan se kaan phattay thay
میں تنہا ہوں مگر خوش ہوں
کیونکہ محفلیں تباہ کرتی ہیں
Main tanha hoon magar khush hoon
Kyunke mehfilen tabaah karti hain
کوئی سمجھے تو اک بات کہوں صاحب
تنہائی 💯گنا بہتر ہے گھمنڈی لوگوں سے
Koi samjhe to ek baat kahun sahib,
Tanhai 100 guna behtar hai ghamandi logon se.
2 lines Urdu tanhai poetry
جس پر زہر بھی اثر نہ کرے
تنہائی اسے بھی مار دیتی ہے
Jis par zeher bhi asar na kare
Tanhaai usay bhi maar deti hai
ہمارے پاس نہ بیٹھو
ہماری تنہائیاں خفا ہوتی ہے
Hamare paas na baitho
Hamari tanhaiyan khafa hoti hain
میں تنہا ہی بہتر ہوں
مجھے ضرورت نہیں جھوٹے سہاروں کی
Main tanha hi behtar hoon,
Mujhe zaroorat nahi jhootay saharon ki.
راس تنہائی بھی نہیں آتی مجھ کو
اور ہر شخص سے بیزار بھی ہوں
Raas tanhaai bhi nahi aati mujh ko
Aur har shakhs se bezaar bhi hoon
آج اتنا تنہا محسوس کیا خود کو
کہ جیسے لوگ دفنا کے چلے گئے ہوں
Aaj itna tanha mehsoos kiya khud ko,
Jaise log dafnake chale gaye hon.
تنہائی کٹ ہی جائے گی اتنے بھی ہم کمزور نہیں
دہرا کر تمہاری باتوں کو کبھی ہنس لیں گے کبھی رو لیں گے
Tanhai kat hi jaegi itne bhi hum kamzor nahi,
Dahra kar tumhari baaton ko kabhi hans lenge kabhi ro lenge.
یوں ہے کہ یہاں نام و نشاں تک نہیں تیرا
اور تجھ سے بھری رہتی ہے تنہائی ہماری
Yun hai ke yahan naam o nishaan tak nahi tera,
Aur tujh se bhari rehti hai tanhai hamari.
اکیلے رہنا سیکھ چکا ہوں
اب دل نہیں لگتا محفلوں میں
Akele rehna seekh chuka hoon,
Ab dil nahi lagta mehfilon mein.
اس کی جستجو اس کا انتظار اور اکیلا پن
تھک کر مسکرا دیتے ہیں جب رویا نہیں جاتا
Is ki justuju is ka intezaar aur akela pan,
Thak kar muskurate hain jab roya nahi jaata.
تنہایوں میں سکون ہے
محفلوں میں دل ٹوٹ جاتے ہیں
Tanhaiyon mein sukoon hai,
Mehfilon mein dil toot jaate hain.
Famous Urdu Tanhai Shayari
ﮔﺮﺩﺵ ایام ﮐﮯ ﺍﻧﺪﮬﮯ ﻭﻃﯿﺮﮮ ﺩیکھے
ﮨﻢ ﺟﻮ ﺑﯿﮭﭩﮯ ﺯﯾﺮ ﺳﺎﯾﮧ ﭼﻞ ﭘﮍﯼ ﺩﯾﻮﺍﺭ ﺑﮭﯽ
Girdish aiyam ke andheray wateeray dekhe,
Hum jo behi zheer saaya chal paday deewaar bhi.
جس نے ہر پل ساتھ نبھایا ہے
وہ کوئی اور نہیں میرا سایا ہے
Jis ne har pal saath nibhaaya hai,
Woh koi aur nahi mera saaya hai.
میرے اکیلے پن پہ مت جانا
میری سوچ لشکروں کا مقابلہ کرتی ہے
Mere akelay pan pe mat jaana,
Meri soch lashkaron ka muqabla karti hai.
آخری آئینہ بھی توڑ دیا
میری تنہائی اب مکمل ہے
Aakhri aaina bhi tod diya,
Meri tanhai ab mukammal hai.
تنہائی کسی کا انتظار نہیں کرتی
قسمت کبھی بے وفائی نہیں کرتی
اس سے جدائی کا اثر ہے ورنہ
پرچھائیں کبھی جسم پر وار نہیں کرتی
Tanhai kisi ka intezar nahi karti
Qismat kabhi be wafaai nahi karti
Us se judaai ka asar hai warna
Parchhai kabhi jism par vaar nahi karti
اپنی تنہائیوں سے گھبرا کر
بہت سے آئینے خرید لایا ہُوں
Apni tanhaiyon se ghabra kar,
Bohat se aainay khareed laaya hoon.
Aaina dekh kar tasalli hui
Hum ko is ghar mein jaanta hai koi
Apno ne bhi na socha ke ujron gi to kidhar jaaon gi
Aashiyaana jin ka na ho woh parinday aksar mar hi jaate hain
Tujh se bichhray to yun huay bay aasa
Sahaara liya deewar se woh bhi peeche ko hat gayi
Tanha karo to yaar mukammal karo na
Phir mujh se mere wajood ka saaya bhi cheen lo
Tuu bhi nahi tha mere paas dilaase ke liye
Main apni hi baanhon mein sar rakh ke ro pari
Tanhai Poetry ,Shayari & Ghazal in Urdu
Dekho na kitne udaas hain tumhaare bina hum
Tars nahi aata tumhein hum ko yun tanha chhor kar
Main apni tanhaai mein tanha behtar hoon
Mujhe zarurat nahi do pal ke sahaaaron ki
Sabr ke ghoont tere hijr mein peene lag jaayen
Kaash hum teri tarah chain se jeene lag jaayen
Ik tumhaaray siwa kaun hai mera yahan
Phir tanha kis ke sahaare chhor jaate ho
Manzil bhi us ki thi rasta bhi us ka tha
Ik hum hi akele thay qaafila bhi us ka tha
Sab se zyada online rehne waale log
Haqeeqi zindagi mein sab se zyada tanha hote hain
Jab baghawat pe utarti hai meri tanhaai
Is qadar shor machaata hoon ke chup rehta hoon
Aaj itna tanha mehsoos kiya khud ko
Ke jaise log dafna ke chale gaye hon
Tere hijr mein yun zard huay jaate hain
Log takte hain to humdard huay jaate hain
Jab se laga hai tanhaai ka rog mujhe
Ek ek kar ke chhor gaye sab log mujhe
Palat kar aane lage shaam ko parinday
Hamaar subah ka bhoola abhi tak nahi aaya
Bas ek chehre ne tanha kar diya humein
Warna hum khud ek mehfil hua karte thay
Laakh samjhao fawaid mujhe tanhaai ke
Mujhe jeena hi nahi tujh se kinaara kar ke
Nahi hai koi muntazir humara jis se karein dil ki baat
So jao ke duniya masroof hai apne chaahne walon ke saath
Akele pan ne bigaari hain aadatein meri
Woh laut aaye to mumkin hai sudhar jaaon main
Best 2 line Tanhai Poetry text Sms
Kaun aayega yahan koi na aaya ho ga
Mera darwaza hawaon ne hilaaya ho ga
💔🥀🌧️🥹💞🕊️🩹🚫🌙🖤
Jab insaan andar se sahrraon mein bhatak raha ho
To shehron ka hujoom bhi us ki tanhaai door nahi kar sakta
💔🥀🌧️🥹💞🕊️🩹🚫🌙🖤
Kandha nahi hai mayassar koi ab mujhe
Rona aaye to deewar se lag jaata hoon
💔🥀🌧️🥹💞🕊️🩹🚫🌙🖤
Hum pehle hi jee rahe thay udaas raaton mein akele
Aap ke jaane ke baad ronak aur barh gayi
💔🥀🌧️🥹💞🕊️🩹🚫🌙🖤
Tanhaaiyon ki jaan jalaaoon main yun hi raat bhar
Khud hi darwazay pe dastak doon khud hi poochhon kaun
💔🥀🌧️🥹💞🕊️🩹🚫🌙🖤
Tanhaai behtar hai jhootay logon se aur bay maqsad baaton se
💔🥀🌧️🥹💞🕊️🩹🚫🌙🖤
Har raat mera dil khud se yeh sawal karta hai
Har kisi ka saath nibhaane wale khud kyun tanha rehte hain
💔🥀🌧️🥹💞🕊️🩹🚫🌙🖤
Aasaan nahi hain yaadon ke deep jalaana
Khoon se jalti hai yeh aag tanhaai ki
💔🥀🌧️🥹💞🕊️🩹🚫🌙🖤
Suno hum baith kar tanha kisi weeraan goshe mein
Hawa ko dukh sunaayenge tujhe hum bhool jaayenge
💔🥀🌧️🥹💞🕊️🩹🚫🌙🖤
Mera aur chaand ka naseeb aik jaisa hai
Woh taaron mein tanha main hazaron mein tanha
💔🥀🌧️🥹💞🕊️🩹🚫🌙🖤
Is dil mein jagah maangi thi musaafir ki tarah
Us ne tanhaaiyon ka aik sheher mere naam kar diya
💔🥀🌧️🥹💞🕊️🩹🚫🌙🖤
Sara sheher us ke janaazay mein shareek tha
Woh aik shakhs jo tanhaai ke khauf se mar gaya
Us ko tamanna thi humein koi na dekhe
Hum ne hokar tanha unhein khushhaal kar diya
Sooraj bhi us ko dhoondne wapas chala gaya
Ab hum bhi ghar laut chalein shaam ho gayi hai
Bichhar ke tum se raah-e-ishq mein hua kuch is tarah
Huay tanha chale tanha gire tanha
Main us ke aks se lipat lipat ke
Har shab roti hoon tanha yeh dard sahti hoon
Maana ke tum se zyada door ho gaya hoon main
Magar tere hisse ka waqt aaj bhi tanha guzaarta hoon main
Ujray huay ghar ka main woh darwaza hoon
Deemak ki tarah khaa gayi jise dastak ki tamanna
Do ghari sukoon ki khaatir hum ne barson azaab jheela hai
Usay kehna aaj bhi aik shakhs tere hotay huay akela hai
Tere hotay huay aajati thi saari duniya
Aaj tanha hoon to koi nahi aane waala
Uljhay gi woh khud se har roz kai baar
Bhaagay gi dekhe gi kahin dastak to nahi hai
Tanhaiyan kuch is tarah se dasne lag gayi mujhe
Main aaj apne paon ki aahat se darr gaya
Kaun kehta hai tanhaiyan achhi nahi hoti
Bara haseen mauqa deti hain khuda se milne ka
Tanhaai mein jeene ke shauqeen hain hum
Koi saath rahe to humein achha nahi lagta
Khwaabon ki tarah bikhar jaane ko jee chahta hai
Aisi tanhaai hai ke mar jaane ko jee chahta hai
Tanhaai yeh nahi hai ke aap wairaanay mein hain
Tanhaai woh hai jo aap bharay sheher mein bhi akele hain
Tamam raat mere ghar ka ik dar khula raha
Main raah dekhti rahi woh rasta hi badal gaya
Akele reh jaate hain woh log
Jo khud se zyada doosron ki fikar karte hain
Dekho na kitne udaas hain tumhare bina hum,
Tars nahi aata tumhein hum ko yun tanha chhod kar.
Jab insaan andar se sahraon mein bhatak raha ho,
To shehron ka hujoom bhi uski tanhai door nahi kar sakta.
Nahi hai koi muntazir hamara jis se karein dil ki baat,
So jao ke duniya masroof hai apne chahne walon ke saath.
Jab koi na mila apna dukh sunane ko,
To rakh diya sheesha saamne aur rola diya khud ko.
Apni zindagi bhi is chaand ki maand hai,
Jo khoobsurat dikhta hai magar hai bahut akela.
Ek tanhai ki aafat hai guzar jaegi,
Log deewar se baatein bhi to kar lete hain.
Jo log hamesha saath rehne ka yaqeen dilate hain,
Insaan apni tanhaiyon mein unhein hi dhoondta reh jaata hai.
Tanhaiyon ka ek alag hi maza hai,
Is mein dar nahi hota kisi ke chhod jane ka.
Meri tanhai ka mujhe gila nahi,
Kya hua jab koi mujhe mila nahi.
Phir bhi dua karenge aap ke waste,
Aap ko wo sab mile jo mujhe mila nahi.
Tumhare haath ki dastak ki aas mein,
Main apne ghar se kahin bhi nahi gaya barsoon.
Ek tanhai ke siwa kuch na raha paas mere,
Main ne apne se zyada chaha tha apnon ko.
Ulajh jayegi wo khud se har roz kayi baar,
Bhagegi dekhegi kahin dastak to nahi hai.
Waise kehne ko to apne bohat hain mere is jahan mein,
Lekin har baar khud ko hi apne hone ka ehsaas dilaya maine.
Ab to tanhai ka koi ehsaas nahi hota,
Ab paani mein bhi tera aks nazar aata hai.
Saaya bhi tera tujh ko chhod jaega,
Aayi bhi tere kaam to tanhai aaye gi.
Akele pan ne bigaari hain aadatein meri,
Woh laut aaye to mumkin hai sudhar jaun main.
Na aazmao mujhe itna ke main majboor ho jaun,
Jo pehle hi tanha ho use dard nahi diya karte.
Khud se ladta hoon bigarta hoon mana leta hoon,
Main ne tanhai ko ek khel bana rakha hai.
Log masroof bohat hain,
Chalain hum bhi daro deewaar se baat karke masroof ho jaate hain.
Zauq tanhai kuch barh gaya itna ke,
Hum ne khud ko hi khud se nikaal phenka.
Chaandni raaton ki tanhai ka aalam mat poochiye,
Ro paday hum sahare dhoondte dhoondte yahan.
Sahara ko bada naaz tha apni veerani par,
Us ne dekha hi nahi aalam meri tanhai ka.
Kuch raatain itni khaali hoti hain,
Ke sitaron ke hujoom bhi inhein bhar nahi paate.
Tanhai ki yeh raat ab kat’ti bhi nahi hai,
Takiya se lapet jaata hoon bachon ki tarah main.
Mil gaye tujhe woh jin se tujhe mohabbat thi hamara kya hai?
Hum kal bi tanha thy aj bhi tanha hain
Agar koi haqeeqat mein mar jaaye,
To rone wala ek hujoom hota hai.
Lekin agar banda apne hi andar khud mar jaaye,
To mayyat bhi us ki aur rone wala bhi woh tanha.
Us ki khushboo se mu’tatir hai meri tanhai
Yaad us ki mujhe tanha nahi hone deti
Akela hoon, akeli zindagi ki shaam kar dunga
Main apni har khushi tanhaiyon ke
Naam kar dunga
Conclusion:
Tanhai Poetry in Urdu is a powerful medium through which poets express the emotional complexities of loneliness. From classic ghazals to modern poetry, the theme of loneliness has always influenced Urdu literature.
These poems not only describe personal struggles but also bring comfort to those who feel alone. When you dive into these beautiful poetry of loneliness, you will realize that loneliness is not just a state but also a journey of self-discovery and inner peace.
You can also read more Best tanhai shayari on Urdupoint.
You can also read here:
- Love poetry
- Ishq poetry
- Islamic poetry
- Kids story
- Ahmed Faraz poetry
- Sad poetry
1 thought on “Best tanhai poetry in Urdu 2 lines | Urdu tanhai shayari”