Ishq poetry
Ishq poetry is a charming and popular part of Urdu literature. Poetry written on the theme of “ishq poetry” has always touched the hearts of lovers. Through this poetry, the emotions hidden in the depths of the heart are expressed in the form of words. Famous poets of Urdu literature like Mir Taqi Mir, Ghalib, Faiz Ahmed Faiz, and Ahmed Faraz have created beautiful poems in the poetry of love that are still in the hearts of people today. Various themes of love poetry, including love, separation, connection and pain, have always attracted readers.so without wasting your time you can read Ishq poetry in Urdu with images in Roman Urdu.
Jo shiddat se chahoge to hogi aarzoo poori
Hum woh nahi jo tumhein khairat mein mil jaayein.
Yeh duniya pujari hai apni khwahish ke matlab ki
Jis khwahish mein matlab na ho usay ishq kehte hain.
Jo raah-e-ishq mein saabit qadam raha
Usko dobara ishq karne ki ijazat nahi milti.
Log kehte hain bhool kar use nayi zindagi shuru kar
Woh rooh par qabiz hai mujhe kisi aur ka hone nahi deta.
Woh bole ishq ka samandar bohot gehra hota hai
Hum ne bhi keh diya ke doobne wale socha nahi karte.
Woh ishq ab kahan mohabbat ka rivaaj chal nikla
Hosh jise apna nahi woh bhi aashiq nikla.
Isi intezaar mein baithe hain unki mehfil mein
Ke woh nigah uthaayein to hum salaam karein.
Tujhe bhoolne ke liye do nafl ada kiye lekin
Dua mein phir tujhe hi maang baithe.
Tere ishq ka saroor tha ke khud ko barbaad kar diya
Warna to log aaj bhi humare deewane hain.
Best Ishq poetry in Urdu
Ishq poetry not only describes the feelings of love but also connects hearts. This poetry provides a special comfort by putting the feelings of our hearts into words. Through the poetry of love, we can easily convey the words of our heart to others.
Sar raah jis se mila nahi jis ke ghar mein aaj tak gaya nahi
Main janam janam se usi ka hoon use aaj tak yeh khabar nahi.
Sochte hain usko to doobte hi chale jaate hain
Aankhein hi nahi uski yaadein bhi samandar hain.
Mere dil ne jab bhi koi dua maangi hai
Har dua mein bas teri wafa maangi hai
Jis pyaar ko dekh kar duniya wale jalte hain
Teri mohabbat karne ki bas woh ada maangi hai.
Hum tumhein kitna chahte hain un uljhanon mein mat paro
Tumhare to gumaano se bhi yeh bohot aage ki baat hai♥️🔥
Jab kashti saabit o saalim thi sahil ki tamanna kis ko thi
Ab aisi shikasta kashti mein sahil ki tamanna kaun kare.
Kaash ke mujhe mil jaye muqaddar ki siyahi aur qalam
Lamha lamha ki khushi likh doon tumhari zindagi ke liye.
Yeh ishq nahi aasan itna hi samajh lijiye
Ek aag ka dariya hai aur doob ke jaana hai.
Jo khud ko pathar kehte the woh bhi jhukte dekhe
Is ishq mein badshah, faqeer, sab sulagte dekhe.
Karni hai khuda se dua ke teri mohabbat ke siwa koi aur na mile
Zindagi mein sirf tu mile ya phir zindagi na mile.
Best Ishq shayari
Ishq poetry in Urdu 2 lines occupies an important place in Urdu literature and has always connected hearts. The sentiments of love are presented in the best way through “Ishq Shaori”, which soothes the hearts. Even in the present era, the importance of love poetry has not decreased, rather it is becoming popular all over the world through the internet and social media. If you have not yet enjoyed love poetry, read a book by a famous poet today and get lost in the world of love.
عشق کے قصے نہ چھیڑو دوستوں
میں اسی میدان میں ہارا تھا کبھی
کون کہہ سکتا ہے اسے دیکھ کر دوستوں
یہ وہی ہے جو ہمارا تھا کبھی
Ishq ke qisse na chedo doston
Main isi maidan mein haara tha kabhi
Kaun keh sakta hai use dekh kar doston
Yeh wohi hai jo humara tha kabhi.
ہائے جب عشق کیا تھا تم سے
افف!! وہ عالم میری نادانی کا 🔥
Haye jab ishq kiya tha tum se
Uff! Woh aalam meri nadani ka.
زخم سینے پہ ہم سجا لیتے
دل میں سارے گلے چھپا لیتے
دل کی یہ آرزو رہی دل میں
کاش کہ تم وفا نبھا لیتے
Zakhm seene pe hum saja lete
Dil mein saare gile chhupa lete
Dil ki yeh aarzoo rahi dil mein
Kaash ke tum wafa nibha lete.
پانی دریا میں ہو یا آنکھوں میں
گہرائی اور راز دونوں میں ہوتے ہیں
Paani dariya mein ho ya aankhon mein
Gehrayi aur raaz dono mein hote hain.
کل کسی عشق کے بیمار پر__دَم کرنا تها
پیرِ کامل کو_____غزل میری سنانی پڑی!!✍️
Kal kisi ishq ke beemaar par dum karna tha
Peer-e-kaamil ko ghazal meri sunaani pari.
وہ کہتے ہیں عشق💓 کی وضاعت کریں
ہم کہتے ہیں فقط محبوب کی اطاعت کریں
Woh kehte hain ishq ki wazahat karein
Hum kehte hain faqat mehboob ki ita’at karein.
اک پل بھی تیری یاد سے غافل نہیں ہوا
میں مذہب وفا کا تہجد گزار ہوں
Ek pal bhi teri yaad se ghaafil nahi hua
Main mazhab-e-wafa ka tahajjud guzaar hoon…
ﻭﺍﻩ ﻭﺍﻩ ﮐــﮩﻨﮯ ﮐـﻰ ﻋﺎﺩﺕ ﮈﺍﻝ
ﻟﯿﺠﯿــﮯ ﺟــﻨﺎﺏ….
ﮨﻢ ﺍﭘﻨﯽ ﺑﺮﺑﺎﺩ ﻣﺤﺒﺖ ﮐﻰ ﺩﺍﺳﺘﺎﻥ
ﻟﮑﻨﮭﮯﻭﺍﻟﮯﮨﯿﮟ….!
Wah wah kehne ki aadat daal lijiye janaab…
Hum apni barbaad mohabbat ki dastaan likhne waale hain….!
مجھے اُلفت تجھی سے ہے ورنہ
لوگ تجھ سے بھی خوبصورت ہیں
Mujhe ulfat tujhi se hai warna
Log tujh se bhi khubsurat hain.
Conclusion
I hope you really enjoyed these best Ishq poetry in Urdu 2 lines . You also find us on Google. Here you can read sad poetry, love poetry or love sad poetry in Urdu .