Mother poetry in Urdu beautifully captures the deep love, care, and sacrifice that define motherhood. These verses are not just an expression of affection but a tribute to the endless bond between a mother and her child.
ماں باپ بہت پیارا رشتہ ہیں
اس میں ملاوٹ نہیں ہوتی
Maan baap bohot pyara rishta hain
Is mein milaawat nahi hoti
باپ کى باتيں غور سى سنو
تاکه دوسروں کى نہ سننى پڑیں
Baap ki baatein ghour se suno
Taake doosron ki na sunni parein
باپ کی دولت نہیں
سایہ ہی کافی ہوتا ہے
Baap ki dolat nahi
Saaya hi kaafi hota hai
خدا کا عرش تھرتھرانے لگتا ہے
جب کوئی ماں کو ستانے لگتا ہے
Khuda ka arsh thar-tharane lagta hai
Jab koi maan ko satane lagta hai
ماں کی محبت وہ گہرا سمندر ہے
جس کی گہرائی کوئی ناپ نہیں سکتا
Maan ki mohabbat woh gehra samandar hai
Jis ki gehraai koi naap nahi sakta
محبت شفقت عنایت مہربانی
یکجا کریں تو بابا جانی
Mohabbat, shafqat, inayat, mehrbaani
Yekja karein to Baba jaani
دنیا گھوم لو ساری چاہے پر
ماں باپ جیسا پیار کرنے والا کوئی نہیں ملے گا
Duniya ghoom lo saari chaahe Par
maa baap jaisa pyaar karne wala Koi nahi milega
میں نے اسے پڑھایا، لکھایا، قابل بنایا
اب وہ اتنا قابل ہے، کہ میں اس کے قابل نہیں رہی
Maine ise parhaya, likhaya, qabil banaya
Ab woh itna qabil hai, ke main us ke qabil nahi rahi
سہتا رہتا ہے دکھ بتاتا نہیں
باپ میرا ہو بے زباں جیسے
Sehta rehta hai dukh, batata nahi
Baap mera ho be-zubaan jaise
لاکھ ڈھونڈو پھر آغوش محبت
بعد مرنے کے پھر ماں نہیں ملتی
Lakh dhoondo phir aaghosh mohabbat
Baad marne ke phir maa nahi milti
اک تیرا ہی پیار سچا ہے ماں
لوگوں کی تو شرطیں ہی بہت ہیں
Ek tera hi pyaar sachha hai maa
Logon ki to shartein hi bohat hain
Mother Poetry in Urdu:
Mother Poetry in Urdu beautifully captures the unconditional love, care, and sacrifices of a mother. These heartfelt verses reflect the deep emotional bond between a mother and child, making it a timeless theme in Urdu literature. Through short yet powerful lines, Mother Poetry serves as a tribute to the irreplaceable role of mothers in our lives.
Meri maan aaj bhi un parh hai
Ek roti mangun to do le aati hai
Is duniya mein aap ka baap woh wahid shakhs hai
Jo chahta hai aap us se zyada kaamyab ho
Duniya mein sab se ziada dolat us ke paas hai
jiss ki maan abhi tak zinda hai
Baap har cheez lata hai, har khwahish poora karta hai
Beti ke liye jo nahi badal sakta, woh hai beti ka naseeb
Kar liya karo subah subah maan ke chehre ki ziarat
Pata nahi kal ko tumhain Hajj karne ka moqa mile na mile
Baap ek aisa shajar hai jis ke
saaye mein betiyan raaj karti hain
Baap ek aisa pahad hai Jin ke saaye mein betiyan raaj karti hain
Aur maan woh hasti hai Jis ki duaaon mein rehmat barasti hai
Kabhi jannat ka main sochun to maan tum yaad aati ho
Mohabbat lafz jo parh loon to maan tum yaad aati ho
Maan baap un darakhton ki tarah hain
Jin ke saaye mein aulaad raaj karti hai
Mujhe mohabbat hai apne haathon ki sabhi ungliyon se
Na jaane kis ungli ko pakar kar meri maan ne mujhe chalna sikhaya
Maan baap se kabhi hisaab na karna
Warna rizq ke saare darwazay tum par band ho jayenge
Ab unhein mera bolna acha nahi lagta
Bachpan mein jo mujh se kahaniyan suna karte thay
Best Mother poetry in Urdu text 2024 :
Allah ki raza maan baap ki raza mein hai
Aur Allah ki sakhti maan baap ki sakhti mein hai
Maan ek aisa bank hai
Jahan aap har ehsaas aur dukh jama karwa sakte hain
Maan jannat hai to
baap jannat ka darwaza
Sookhay mein sulakar khud gile soti hai, woh maan kehlati hai
Do roti khila kar khud ek roti khati hai, woh maan kehlati hai
Jo rula ke hansa de woh hai Baap aur
Jo rula ke khud ro paray woh hai Maan
Dhokha dena aaj tak nahi aaya
Pyar karna apni maan se jo seekha hai
Sitaron jaisi roshan hai meri peshaani ab tak
Ek baar meri maan ne isay mohabbat se chooma tha
Hamare walidain ne humein bachpan mein shehzadon ki tarah paala hai
Lihaza hamara farz banta hai ke burhape mein hum unhein badshahon ki tarah rakhein
Abhi zinda hai meri maan, mujhe kuch bhi nahi hoga
Main ghar se jab nikalta hoon, duaaein saath chalti hain
Jo walid ki qadr kare woh kabhi ghareeb nahi hota
Jis ne maan ki qadr karli woh kabhi badnaseeb nahi hota
Pooshta hai jab koi duniya mein mohabbat hai kahan?
Muskura deta hoon, yaad aa jati hai maan
Urdu Poetry for mother poetry :
Walidain ki duaaein woh azeem naimat hain
Jo apni aulaad par aane wali har museebat ko rok deti hain
Apni zubaan ki taaqat in maan baap par kabhi mat aazmao
Jinhon ne tumhain bolna sikhaya hai
Sanata sa chha gaya batware ke qisse mein
Pocha jab maan ne
Main hoon kis ke hisse mein
Labon pe uske bad duaa nahi hoti
Bas ek maan hai jo kabhi khafa nahi hoti
Ae qalam rok jaa, adab ka maqam hai
Teri nok ke neeche mere maan baap ka naam hai
Duniya bhar ki raahatein apni jagah
Lekin haaye woh maan ke pehlu mein baithna
Mujhe tujh se behad mohabbat hai maan
Tu jannat se bhi khoobsurat hai maan
Mat nazarandaaz karna kabhi maan ki takleefon ko
Jab yeh bicharti hain to reshmi takiyoun par bhi neend nahi aati
Maan ki awaaz sukoon deti hai
Chaahay woh phone par hi kyun na ho
Mother Poetry in Urdu 2 lines text:
Maa baap ko mohabbat ki nigah se dekhna maqbool hajj ka sawab hai
Rehte hain mere saath farishte duaon mein
Main khush naseeb hoon meri maa hayat hai
Bartaan maanjh kar maa do char bachay pal hi leti hai
Magar do char bachon se ek maa nahi pali jati
Maa baap ko saath rakha nahi jata
Balkay maa baap ke saath raha jata hai
Umr bhar hum aap ki aaghosh mein palte rahe
Jab hum hue khidmat ke qabil to aap hi chal basay
Hausla to dekhiye maa baap ka zara
Ghairon ko sonp dete hain beti ko paal kar
Duniya mein mujhe jo bhi jatan bhi mila hai
Sab kuch meri maa ki duaoon ka sila hai.
Kash ke ho sakti qubool meri dua kuch is tarah
Maa ke naam mein pyaar ki shiddat hai jis tarah.
Maa ke saaye ki naqdri na kiya kar
Dhoop kaategi bohat jab shajar kat jayega.
Thokrain kha ke main duniya ki jo thak jaata hoon
Maan ki tasveer banata hoon, lapet jaata hoon
Duniya mein siwaaye maan baap ke koi rishta mukhlis nahi
Jis par insaan aitbaar kar sake
Maan baap ka dil jeet lo, kaamyab ho jaoge
Warna saari duniya jeet kar bhi haar jaoge
Aaj wahi aulaad maa ko dard deti hai
Jis ke liye maa raat bhar duaein karti thi.
Ya Allah meri maan ko salaamat rakhna, kyunke jab main ghar se nikalta hoon to Allah Paak se kehti hai, “Ae Khuda, mera beta apni hifazat mein rakhna.” Allah Paak sab ki maaon ko salaamat rakhe, Aameen
Tum chaho kitne hi perfume laga lo
Lekin jo khushboo maa ke anchal mein hai
Woh kisi perfume mein kahan.
Khuda ke baad jis ne mujhe poora kiya
Ahl-e-jahan suno woh meri maa hai
Dhoop mein baap jalta hai
Aur chulhay par maa jalti hai
Tab hi ja kar ek aulaad palti hai
Maa ki khidmat se jannat mil jati hai
Magar jannat ka darwaza is waqt khulta hai
Jab baap ki izzat ki jaye
Insaan ke aadhe se zyada gham maa ki hamdard awaaz sun kar khatam ho jate hain
Maa ki ek dua zindagi bana degi
Khud to roegi magar tum ko hansa degi.
Bhol kar bhi na rolaana maa ko kabhi
Kyunki ek chhoti si badddua arsh ko hila degi
Walidain ki khidmat jannat ka darwaza hai
Khush naseeb log is darwaze ko zindagi mein aur
Bad naseeb unki maut ke baad dhoondhne ki koshish karte hain
Barish ke dinon mein qabaristan ka chakkar laga liya karo
Wahan aise log dafan hain
Jo zara si bijli chamakne par humein apne seno se laga lete the.
Ajab maine maa ka pyaar dekha
Kha beta raha tha, pet maa ka bhar raha tha.
Duniya mein sirf maa baap hi aise hote hain
Jo apni aulaad ko ghalat raste par chalne se rokte hain.
Maa baap ka ek aisa rishta hai
Koi aur is ki kami puri nahi kar sakta.
Woh naam hi kya jo naam na lage
Maa
Woh kaam hi kya jis mein maa ki dua na lage.
Apni maan ke haath se banay khane mein nuqs na nikala karo
Aap khush qismat ho ke maan khana bana ke deti hai
Is duniya mein kuch ke paas khana nahi, kuch ke paas maan nahi
Sab ke liye maan baap ko na chhor
Maan baap ke liye sab ko chhor
Kyunke
Jab maan baap rote hain to farishton ko bhi rona aa jata hai
Chehray ki chamak aur mehlon ki oonchai par mat jaana
Ghor karna ke jis ghar mein maan baap hanste nazar aayein
Samajh jaana ke woh ghar ameeron ka hai
Baap duniya ka waahid shakhs hai jo khud se zyada apne betay ko kamyaab dekhna chahta hai
Yaarab mere baba ko karwat karwat jannat ki bahaarain naseeb farma, Aameen
Jab saare rishte toot jaate hain
Tab ek rishta baaqi rehta hai aur woh hai maan baap ka rishta
Chaah ke bhi nahi toot’ta
Chaahay kuch bhi ho jaaye, maan baap hamesha apna hi rehte hain, apna hi saath dete hain
Maan ke baghair aulaad aisi hai jaise phal ke baghair darakht hai
Saaya to hai magar sukoon nahi hai
Ghar to hai
Magar sajane wala nahi hai
Ataa kar hamare maan baap ko umar daraaz ae Allah
Ke un ki duaaon ke bina hamari zindagi bohot adhoori hai
Maan baap ka haath pakar kar rakho
Kabhi kisi ke paon pakarne ki zaroorat nahi padegi
Allah Ta’ala humein walidain ki khidmat karne ki taufeeq ataa farmaayein
Aameen
Maan dil se tera khayaal mitaya nahi jata
Maan tujh ko chor ke jaya nahi jata
Maan jo lazat hai tere haath ki roti mein
Woh lazat kisi aur ke haath ki roti mein paaya nahi jata
Walidain ki baat par itna yaqeen to rakhein
Jitna aap dawai par rakhte hain, thodi karwi hogi
Lekin faidamand hogi
Maan hamesha dil mein zinda rehti hain
Har khushi aur gham ke moqe par yaad ban kar
Ya aankh mein aansu ban kar jee uthti hain
Maan baap ki baatein karwi zarur hoti hain
Magar yaad rakhain neem ke patte karwe sahi lekin khoon saaf karte hain
Jab aulaad roti dene lag jaati hai naa
To aksar maan baap ko darna parta hai
Kahin koi baat buri lag gayi to roti dena band na kar dein
Duniya ki har cheez se pyari hai mujh ko meri maan
Koi mere dukh ko samjhe na samjhe, par samajhti hai mere har dukh ko meri maan
Aap ke walid ki har cheez muqaddas hai
Yahan tak ke jootay bhi jinko darwazay ke samnay dekh kar aap ko tahaffuz ka ehsaas hota hai
Ya Allah mere walidain ko hamesha khush tandrust lambi umar aur inka saya mere sar par hamesha rakhna
Aameen
Conclusion:
Mother poetry is a heartfelt tribute to the unconditional love and support mothers give. While many blogs focus solely on love, this article dives into the spiritual and emotional aspects of motherhood that are often overlooked.you can also read more mother Poetry on Google.
Read more here :-