Smile poetry is more than just words—it captures the essence of joy, warmth, and life’s subtle beauty. Whether it’s a reflection of happiness or a reminder of the fleeting nature of emotions, smile poetry has the power to uplift spirits and touch hearts deeply.
Many famous poets, such as William Blake and many other Urdu poet’s also , have explored the contrasts within a smile, portraying both its light and darker sides.
Also check Funny poetry in Urdu.
ایک ایسا بھی وقت ہوتا ہے
مسکراہٹ بھی آہ ہوتی ہے
Ek aisa bhi waqt hota hai
Muskurahat bhi aah hoti hai
جینے مرنے کا ایک ہی سامان
اس کی مسکان ہو گئی ہوگی
Jeene marne ka aik hi samaan
Us ki muskaan ho gayi hogi
مسکراہٹ ہے حسن کا زیور
مسکرانا نہ بھول جایا کرو
Muskurahat hai husn ka zewar
Muskuraana na bhool jaya karo
نہیں عتاب زمانہ خطاب کے قابل
ترا جواب یہی ہے کہ مسکرائے جا
Nahi atab zamana khitaab ke qaabil
Tera jawab yehi hai ke muskuraaye ja
جیسے پو پھٹ رہی ہو جنگل میں
یوں کوئی مسکرائے جاتا ہے
Jaise po phat rahi ho jungle mein
Yun koi muskuraye jaata hai
دل میں طوفان ہو گیا برپا
تم نے جب مسکرا کے دیکھ لیا
Dil mein toofan ho gaya barpa
Tum ne jab muskura ke dekh liya
مسکرانا کبھی نہ راس آیا
ہر ہنسی ایک واردات بنی
Muskurana kabhi na raas aaya
Har hansi ek waaqiat bani
نذیرؔ لوگ تو چہرے بدلتے رہتے ہیں
تو اتنا سادہ نہ بن مسکراہٹیں پہچان
Nazeer, log to chehre badalte rehte hain
Tu itna saada na ban, muskurahatein pehchaan
میرے ہونٹوں پہ مسکراہٹ ہے
گرچہ سینے میں داغ رکھتا ہوں
Mere honton pe muskurahat hai
Garcha seene mein daagh rakhta hoon
اے غم زندگی نہ ہو ناراض
مجھ کو عادت ہے مسکرانے کی
Ae gham-e-zindagi na ho naraaz
Mujh ko aadat hai muskurane ki
مجھے زندگی کی دعا دینے والے
ہنسی آ رہی ہے تری سادگی پر
Mujhe zindagi ki dua dene wale
Hansi aa rahi hai teri saadiqi par
بجلی چمکی تو ابر رویا
یاد آ گئی کیا ہنسی کسی کی
Bijli chamki to abr roya
Yaad aa gayi kya hansi kisi ki
ہم نہ کہتے تھے ہنسی اچھی نہیں
آ گئی آخر رکاوٹ دیکھیے
Hum na kehte the hansi achi nahi
Aa gayi aakhir rukawat dekhiye
آگے آتی تھی حال دل پہ ہنسی
اب کسی بات پر نہیں آتی
Aage aati thi haal-e-dil pe hansi
Ab kisi baat par nahi aati
جس کو برسوں ہنسی نہ آئی ہو
اس کو ناصح کی بات پر آئے
Jis ko barson hansi na aayi ho
Us ko nasih ki baat par aaye
جینے مرنے کا ایک ہی سامان
اس کی مسکان ہو گئی ہوگی
Jeene marne ka ek hi samaan
Us ki muskaan ho gayi hogi
آنسوؤں سے بھیگی مسکراہٹیں
عجیب مگر بہت دردناک ہوتی ہیں
Ansoon se bheegi muskurahatein
Ajeeb magar bohat dardnaak hoti hain
ہنسی ہے دل لگی ہے قہقہے ہیں
تمہاری انجمن کا پوچھنا کیا
Hansi hai, dil lagi hai, qehqe hai
Tumhari anjuman ka poochna kya
دل جلوں سے دل لگی اچھی نہیں
رونے والوں سے ہنسی اچھی نہیں
Dil jalon se dil lagi achi nahi
Rone walon se hansi achi nahi
لکیریں پیٹنے والوں کو خالدؔ
لکیروں پر ہنسی آنے لگی ہے
Lakeerein peetne walon ko Khalid
Lakeeron par hansi aane lagi hai
آؤ مل بیٹھ کر ہنسیں بولیں
نہیں معلوم کب جدا ہو جائیں
Aao mil baith kar hansein bolein
Nahi maloom kab juda ho jaayein
زندگی کی ہنسی اڑاتی ہوئی
خواہش مرگ سر اٹھاتی ہوئی
Zindagi ki hansi urati hui
Khwahish-e-marg sar uthati hui
Smile Poetry in Urdu 2 lines text
Mahfil mein log chonk pare mere naam par
Tum muskra diye meri qeemat yahi to hai
Yun muskuraye jaan si kaliyon mein pad gayi
Yun lab kasha hue ke gulistan bana diya
Jis ke khayaal par labon pe tabassum aa jaye
Haaye kya aalam ho agar woh rubaru aa jaye
Wahan salaam ko aati hai nange paon bahar
Khule the phool jahan tere muskrane se
Ab aur iske siwa chahte ho kya Mila
Yeh kam hai usne tumhe muskra ke dekh liya
Muskurane ka yahi andaaz tha
Jab kali chatki to woh yaad aa gaya
Yeh kis maqam pe laayi hai zindagi hum ko
Hansi labon pe hai, seene mein gham ka daftar hai
Boose biwi ke, hansi bachon ki, aankhein maa ki
Qaid khane mein giraftar samjhiye hum ko
Jis ki qismat mein likha ho rona Mohsin
Woh muskra bhi dein to aansoo nikal aate hain
Woh muskra ke koi baat kar raha tha Shumaar
Aur uske lafz bhi the chandni mein bikhre hue
Itna roya hoon gham-e-dost zara sa hans kar
Muskurate hue lamhaat se jee darta hai
Woh log jin ki zamana hansi urata hai
Ek umr baad unhein mo’tabar bhi karta hai
Ashkon ne gir ke khaak pe mitti kharab ki
Kya kya hansi udi meri chashm par aab ki
Tu hansi le ke meri aankh ko aansoo de de
Mujh se sookha hua darya nahi dekha jaata
Kya hansi aati hai mujh ko Hazrat-e-insaan par
Fail-e-bad khud hi karein, laanat karein shaitaan par
Wahan maqam to rone ka tha magar ae dost
Tere firaaq mein hum ko hansi bohot aayi
Tamaam shabnam o gul hai woh sir se ta ba qadam
Ruke ruke se kuch aansoo, ruki ruki si hansi
Hansi mein kat’ti thin raatein, khushi mein din guzarta tha
Kanwal, mazi ka afsana na tum bhoole na hum bhoole
Hansi mein taal de phir se hamari har khwahish
Phir ek baar thapak de hamara gaal zara
Mujhe chaak garebaan par hansi aayi to hai lekin
Mere hansne pe un ki aankh bhari aayi to kya hoga
Bahar aayi gulon ko hansi nahi aayi
Kahin se boo teri guftaar ki nahi aayi
Best Muskurahat Poetry in Urdu 2024
Meri hansi ko sar-e-bazm seh liya us ne
Phir us ke baad akele mein inteqam liya
Yeh bekhudi yeh labon ki hansi mubarak ho
Tumhein yeh salgirah ki khushi mubarak ho
Khauf-e-dozakh se kabhi, khwahish-e-jannat se kabhi
Mujh ko is tarz-e-ibaadat pe hansi aati hai
Umad ke aankh se ek baar beh chale aansoo
Hansi hansi mein jo zikr-e-wida-e-yaar aaya
Un ki palkon par sitaare apne honton pe hansi
Qissa-e-gham kehte kehte hum kahan tak aa gaye
Is gulshan-e-hasti ka har rang nirala hai
Jab rone lagi shabnam phoolon ko hansi aayi
Behti nahi hai mard ki aankhon se joo-e-ashk
Lekin humein batao ke hum kis liye hansein
Us ki khwahish hai ke ab log na ro’yein na hansein
Be-hissi waqt ki awaaz bana di jaaye
Hum apne haal-e-pareshaan pe baarha roye
Aur us ke baad hansi hum ko baarha aayi
Waday ka aitbaar to hai waqai mujhe
Yeh aur baat hai ke hansi aa gayi mujhe
Bohat se gham chhupe honge hansi mein
Zara un hansne walon ko tatolo
Hansi aane ki baat hai hans raha hoon
Mujhe log deewana farma rahe hain
Marg-e-aashiq pe farishta maut ka badnaam tha
Woh hansi roke hue baitha tha jiska kaam tha
Gham ki tashreeh hansi khel nahi hai koi
Pehle insaan to ban, phir yeh hunar paida kar
Jin ke honton pe hansi, paon mein chaale honge
Haan wohi log tumhein chahne wale honge
Conclusion:-
smile poetry serves as a reminder of how small expressions can hold vast emotions. From love and gratitude to bittersweet nostalgia, a simple smile can convey much more than words. Whether you’re seeking a two-line verse or a more intricate composition, smile poetry provides a comforting embrace for readers of all ages.
You can also read more smile Poetry on Google.
Also read more here:-