Dosti shayari Urdu adab ka ek ahem hissa hai, jo dil ki gehraiyon se nikle jazbaat ko bayan karti hai. Har doost ke liye, yeh alfaz rishton ko mazeed mazboot banate hain. Dosti ke rishte ko izzat aur muhabbat dene ke liye, Urdu shayari ka jadoo be-misal hai.
شریکوں سے کہنا جلنا چھوڑ دیں
دوست خدا دیتا ہے لوگ نہيں
Shareekon se kehna jalna chhod dein
Dost khuda deta hai, log nahi
دنیا میں دو چیزیں کبھی نہیں بکتی
اک دوستی اور دوسرا سچا پیار
Duniya mein do cheezen kabhi nahi bikti
Ek dosti aur doosra saccha pyaar
دوست مصروف ہو گۓ اتنے
میں نے راز دوشمنوں سے بول دیے
Dost masroof ho gaye itne
Maine raaz dushmanon se bol diye
Also read love poetry in Urdu here.
اکیلا کوئی بھی شیر نہیں ہوتا
محفلیں یاروں کے ساتھ سجتی ہیں
Akeela koi bhi sher nahi hota
Mahfilein yaaron ke saath sajti hain
ہر کوئی میرا دوست نہیں لیکن
میرے دوست جیس کسی کا دوست نہی
Har koi mera dost nahi Lekin
mere dost jaisa Kisi ka dost nahi
Urooj pe to har koi milata hai haathon mein haath
Mushkilon mein jo saath chalein usay hum yaar kehte hain
Sahara dena ho to zindagi bhar ka dena Ek pal ka
sahara to janaza uthane wale bhi diya karte hain
ہو سکتا ہے سچ بولنے سے آپ کے زیادہ دوست نہ بنیں
لیکن جو بنیں گے وہ سچے دوست ہوں گے
Ho sakta hai sach bolne se Aap ke zyada dost na banen
Lekin jo banen ge woh sache dost honge
مانگی تھی یہ دعا رب سے دوست دینا جو ہو الگ سب سے
خدا نے ملا دیا تم سے اور کہاخیال رکھنا انمول ہیں سب سے
Mangi thi yeh dua Rab se Dost dena jo ho alag sab se
Khuda ne mila diya tum se aur kaha Khayaal rakhna, anmol hain sab se
Two lines Dosti shayari 2024
کبھی کسی دوست کو فضول مت سمجھو کیونکہ
جو درخت پھل نھیں دیتا ھے وہ سایہ ضرور دیتا ھے
Kabhi kisi dost ko fazool mat samjho Kyunkay
jo darakht phal nahi deta wo saya zaroor deta hai
Bichhda to dosti ke asase bhi batt gaye
Shohrat wo le gaya, mujhe ruswai de gaya
Sacha dost wahi hai Jis ke saath rehne se
khushi dugni aur gham Aadhe ho jaate hain
Hum itne anmol to nahi magar hamari qadr yaad rakhna
Dost Shaayad mere baad mere jaise na milein
Nasli dost kitna bhi naraaz ho
Lekin dushmanon ki saf mein kabhi khara nahi hota
Chhor di in taaron se bhi dosti
Saahib
Baat khatam nahi hoti aur chale jaate hain
پرانے دوستوں کی ایک خوبصورت ادا یہ ہو تی کہ
کمبخت بوڑھے ہو جاتے ہیں بڑھے نہیں ہوتے
Purane doston ki ek khoobsurat ada yeh hoti ke
kambakht boodhe ho jaate hain badhe nahi hote
Khanjaron se pooch na talwaron se pooch
Mere qatl ki wajah mere yaaron se pooch
دوستی میں روٹھنا منانا لڑنا جھگڑنا پیار محبت
سب ہونا چاہے لیکن انا ہر گز نہیں ہونی چاہے
Dosti mein roothna manana, larna jhagrna, pyaar mohabbat
sab hona chahiye lekin ana har giz nahi honi chahiye
Best dost poetry in Urdu
Mile honge hazaron tumhain matlab se apne
Par hum wo hain jo bina matlab ke mile hain tumhein
Yahan jaan sakta nahi koi haal-e-dil kisi ka
Yahan matlab ke log, matlab ki yaari hai
Wo mera dost bhi hai aur dushman bhi
Wohi mera dil bhi hai aur dhadkan bhi
Humein ahbab ki lambi qataaron se nahi matlab
Jo dil se hamara ho humein wo ek shakhs kaafi hai
Aye Khuda mere dost ko salaamat rakhna
Warna meri shaadi mein bartan saaf kaun karega
Sachay dost ki misaal aansoo ki tarah hoti hai
Jab bhi dil khafa hota to wo aa jata hai
Tum ne chhod diya haal-e-ghareebi dekh kar
Aa dekh hum aaj bhi anmol hain dosti ke bazaar mein
Us ke har zakhm pe dil nisaar hota hai
Zaalim kitna bhi ho, yaar to yaar hota hai
Jin ke yaar kamaal hote hain
Woh log duniya mein be-misaal hote hain
Urdu dosti shayari 2 lines
Dosti mohabbat se behtar hai
Kyunke dosti insaan ko kabhi akela nahi chhodti
Darr lagta hai kisi ko apna kehne ka
Darr lagta hai kuch wada nibhaane ka
Dosti to ho jaati hai kisi se do pal mein
Darr lagta hai usi dosti ko nibhaane ka
Laazmi nahi ke zindagi dolat se maalamaal ho
Hum to achay doston ko hi zindagi ki dolat samajhte hain
Hum to jal gaye yaaron ki mohabbat mein mom ki tarah
Agar phir bhi humein koi bewafa kahe to uski wafa ko salaam
Matlab walay dost wafa ki qeemat kya janay
Jo bewafa dost ho wo wafa ki qeemat kya janay
Jisko milta ho har mor par naya dost
Wo hum jaise doston ki qadr kya janay
Jo aasaanee se mile wo hai dhoka Jo mushkil se mile wo hai izzat
Jo dil se mile wo hai pyaar
Aur jo naseeb se mile wo hai dost
Dosti chiraagh hai jalaaye rakhna
Dosti khushbu hai mehkaaye rakhna
Hum rahen aap ke dil mein sada ke liye
Itni jagah dil mein mere liye rakhna
Suna hai log dosti mein jaan bhi de dete hain
Lekin sochne ki baat hai jo waqt nahi dete wo jaan kya denge
Kehne mein to mera dost ek hai
Lekin jiss se dosti ki hai wo hazaron mein ek hai Aur wo aap hain
Har khushi dil ke qareeb nahi hoti
Mohabbat ghamon mein shareek nahi hoti
Aye mere dost meri dosti ko salaamat rakhna
Kyunkay har kisi ko dosti naseeb nahi hoti
Bhai ek sone ki manind hota hai
Aur sona baar baar tayar ho sakta hai
Dost ek heere ki manind hota hai
Jo tootay to bikhar hi jata hai
Insaan ko us ki buraiyon ke saath qabool karne wala hi sachi dosti ka haqdar hota hai
Khoobiyon se to dushman bhi mutasir karte hain
Ek dost ki talaash hi rahi umar bhar humein
Jo paas tha usay jaan na sake, jo door tha usay paa na sake
Saari umr tum ko pyar mile Jo dil mein hai wo hazaar baar mile
Bichhad jaate hain milne ke baad bhi Kuch log
jo kabhi na bichhaday Aisa tum ko yaar mile
Mere sajdon ki duaein tum kya jano
Sar jhuka to teri khushi maangi aur haath utha to teri zindagi maangi
Khayaal rakha karo apna aye pyaaray dost
Kyunkay
Mere paas tumhare jaisa koi aur nahi
Jab aap urooj pe hote hain to apne doston ko pata chalta hai ke aap kaun hain
Aur jab aap zawal par hote hain to aap ko pata chalta hai ke dost kaun hai.
Jab bhi mujhe koi dar sataata hai ek hi chehra nazar aata hai
Jo rehta tha saaye ki tarah saath mere
Aaj woh dost yaad aata hai.
Kisi ne mujh se poocha tum apne dost ko kab tak chahtay ho
Maine ek aansu samundar mein gira diya aur kaha jab tak tum use dhoond na lo
Bharosa karo humari dosti par
Hum kisi ka dil dukhaya nahi karte
Aap aur aap ka andaaz humein acha laga
Warna hum jaldi dost banaya nahi karte
Dosti ke bazaar mein daulat nahi dekhi jaati
Pyar ho jaye to soorat nahi dekhi jaati
Ek dost pe luta do apna sab
Kyunke pasand ho cheez to keemat nahi dekhi jaati
Dost woh hi ke jab dekho to aaina lage
Aur jab saath chale to saaya lage
Kyoon ke aaina kabhi jhoot nahi bolta
Aur saaya kabhi saath nahi chhodta
Hoti nahi dosti kabhi chehre se
Dosti to dil se ki jaati hai
Soorat unki khud hi pyaari lagti hai
Qadr jinki dil se ki jaati hai.
Tanha rehna seekh liya humne
Par khush kabhi na reh paayenge
Teri doori to seh leta hai yeh dil
Par teri dosti bina na jee paayenge.
Doston ke gham mein shaamil hua karo har haal mein
Lekin khushiyon mein tab tak na jaana jab tak woh khud na bulaayen.
Koi dost puraana nahi hota
Kuch din baat na kare to begaana nahi hota
Arey doston mein doori to aati rehti hai
Magar doori ka matlab bhulaana nahi hota.
Tum mere dost ho sada ke liye
Main zinda hoon teri wafa ke liye
Tum laakh shikway mujhe de dena
Lekin mujh se naraz na hona khuda ke liye
Kya maangoon Khuda se tumhein paane ke baad
Kis ka karoon intezaar tere aane ke baad
Kyoon dost ke liye jaan luta dete hain log
Mujhe maaloom hua tujhe dost banane ke baad
Dil se dil kabhi juda nahi hote
Yoon hum har kisi par fida nahi hote
Pyaar se bada rishta hai dosti ka
Kyoon ke dost kabhi bewafa nahi hote.
Waada raha ab na sataayenge,
Koshish yeh hi rahegi ke dosti nibhaayenge
Zaroorat pade to dil se bulaana
Mar bhi rahe ho to mohlat le kar aayenge.
Har khushi dil ke qareeb nahi hoti
Zindagi gham se door nahi hoti
Aye dost! dosti ko nibhaana zaroor
Hamari dosti har kisi ko naseeb nahi hoti 😊.
Conclusion:-
Dosti shayari ke zariye, hum apne azeez dooston se behtareen ehsaasat ka izhar karte hain. Yeh shayari na sirf dosti ko mazid gehra banati hai, balki dil ke kareebi rishton ko aur ziada khubsurat bana deti hai. You can also visit Google for more dosti shayari. Everything you will need to know about Journal Quotes.
Also visit here;
Nice 👍