Urdu love shayari is a way to express love to another through love poetry in Urdu. In a world where communication, Urdu love shayari offers a cover of depth and meaning. Its timeless beauty reminds us that love is not just a fleeting emotion but a profound experience that enriches our lives in countless ways.
Urdu love shayari
Urdu love shayari is not just a literary form; it is a cultural treasure that has been passed down through generations. Its enduring popularity speaks to its universal appeal, transcending barriers of language and geography. Whether you’re reciting verses to a loved one or simply savoring the beauty of the words, Urdu love poetry has the ability to touch hearts and stir souls.
Jab woh saj ke sanwar gaye honge,
dekhne wale to mar gaye honge.
Is raah-e-mohabbat ki tum baat na poocho,
anmol jo insaan thay be-mool bike hain.
Poocha kisi ne kaun si khushboo pasand hai,
main ne tumhari saans ka qissa suna diya.
Kya kahun ab ishq ke dard chhupane ko,
tum jaante ho na mujhe koi bahaana nahi aata.
Mehsoos kar mujhe to khud mein kahin pe,
hai teri dhadkan jahan mein hoon wahi pe.
Urdu love shayari
Urdu love shayari ka husool karna kisi bhi dil ko jila denay wala tajurba hai. Is zubaan mein mohabbat, dard, khushi aur ghum ki kahaniyan ek khoobsurat andaaz mein bayan hoti hain. Urdu shayari ki lehrain insan ke dil ko choo jaati hain aur unki rooh ko gehraiyon tak mehsoos karati hain. Yeh zubaan mohabbat ki bhavnayein izhar karne ke liye bilkul mufeed hai aur har lafz dil ko chhoo jaata hai.
Suna hai mohabbat kar li hai tumne,
ab kahaan milo ge paagal khaane ya meh khaane.
Mera is shakhs se bas itna sa talluq hai,
usse jab dard hota hai mujhe mehsoos hota hai.
Agar tera sawaal hota ke sukoon kya hai,
hum muskura ke tere dil pe sar rakh dete.
Yeh mohabbat ki kahani nahi murti,
log mar jaate hain qadr nibhaate nibhaate.
Saari raat guzarti hai bas un hisaabon mein,
usse mohabbat thi? Nahi thi? Hai? Nahi hai.
Woh shakhs mujhe apne lafzon mein samjha raha tha,
aur hum jaise nadaan mohabbat samajh bete.
Silsila-e-ishq ka hai aaj bhi urooj par, koi chaa ke toot’ta hai, koi chaahta hai toot kar.
Hosh walon ko khabar kya, be-khudi kya cheez hai,
ishq kije phir samjhe zindagi kya cheez hai.
Wo to khushboo hai hawaon mein bikhar jaaye ga,
masla phool ka hai, phool kahan jaaye ga.
Love poetry in Urdu
تم سے ملنے کی دیر ہے جاناں
زندگی مجھ میں لوٹ آئے گی
Tum se milne ki dair hai jaan,
zindagi mujh mein loot aayegi.
میں نے چاہا تھا زخم بھر جائیں
زخم ہی زخم بھر گئے مجھ میں
Main ne chaaha tha zakhm bhar jaayein,
zakhm hi zakhm bhar gaye mujh mein.
تم کئی بار مل چکے ہوتے
تم جو ملتے اگر دعاوں میں
Tum kayi baar mil chuke hotay,
tum jo milte agar duaon mein.
مسافروں سےمحبت کی بات کر لیکن
مسافروں کی محبت کا اعتبار نہ کر
Musafiron se mohabbat ki baat kar lekin,
musafiron ki mohabbat ka aitbaar na kar.
دل کی ضد ہو تم ورنہ
ان آنکھوں نے بہت لوگ دیکھے ہیں
Dil ki zidd ho tum warna,
inn aankhon ne bohot log dekhe hain.
وقت بہت کچھ چین لیتا ہے
خیر میری تو مسکراہٹ تھی
Waqt bohot kuch cheen leta hai,
khair meri to muskurahat thi.
زندگی چین سے گزر جائے
تو اگر ذہن سے اتر جائے
Zindagi chain se guzar jaaye,
to agar zehan se utar jaaye.
Urdu love shayari
Zindagi ka ek anmol hissa Urdu love shayari hai. Har lafz, har sher, har ghazal dil ke karib hota hai aur mohabbat ki kahaniyon ko naye rang aur gehrayiyan deta hai. Urdu shayari ki rawani aur uski depth har dil ko choo jaati hai aur har ahsaas ko mehsoos karati hai. Is zubaan ka jaadoo har mohabbat karne wale ke dil mein rehta hai aur uski rooh ko sulagta hai.
تم کو اپنی مثال دیتا ہوں
عشق زندہ بھی چھوڑ دیتا ہے
Tum ko apni misaal deta hoon,
ishq zindah bhi chhod deta hai.
ویسے تو عشق ممنوع ہے مگر جاؤ
مجھ سے کرنے کی اجازت ہے تمہیں
Waise to ishq mamnoo hai magar jao, mujh se karne ki ijazat hai tumhein.
میں اس زمانے کا سب سے امیر لڑکا ہوں
میرا شمار جو ہوا ہےتمہارے اساسوں میں
Main us zamane ka sab se ameer ladka hoon, mera shumar jo hua hai tumhare asaason mein.
کرنے ہیں اگر شکوے محبوب سے
پھر چھوڑ دے محبت کوئی اور کام کر
Karne hain agar shikwe mahboob se,
Phir chhod de mohabbat koi aur kaam kar.
دل کو پانی میں رکھ دیا میں نے
آگ جیسی تھیں خواہشیں اس کی
Dil ko paani mein rakh diya main ne,
Aag jaisi thein khwahishen uss ki.
کاش آپ ایسے میرے ہوجاؤ
جیسے میرا نام صرف میرا ہے
Kaash aap aise mere ho jao,
Jaise mera naam sirf mera hai.
اٹھاتے ہے نظریں تو گرتی ہے بجلی
ادا جو بھی نکلی قیامت ہی نکلی
Uthate hain nazarain to girti hai bijli,
Adaa jo bhi nikli qayamat hi nikli.
مجھ کو مارا گیا ہے نفرتوں سے
مجھ پر محبت کا الزام تھا
Mujhko mara gaya hai nafraton se,
Mujh par mohabbat ka ilzaam tha.
تجھے بھولنے کے لۓ
تجھ سے پیار نہیں کیا
Tujhe bhoolne ke liye,
Tujh se pyaar nahi kiya.
مجھے بھیجا تھا دنیا دیکھنے کو
میں ایک چہرے کو تکتا رہ گیا
Mujhe bheja tha duniya dekhne ko,
Main ek chehre ko takta raha gaya.
میرے اجداد __ عشق والے تھے
میں محبت میں _ خاندانی ہوں
Mere ajdad __ ishq walay the,
Main mohabbat mein _ khandaani hoon.
ھم تمھیں کتنا چاھتے ھیں ان اُلجھنوں میں مت پڑو
تمھارے تو گمانوں سے بھی یہ بہت آگے کی بات ھے
Ham tumhein kitna chahte hain in uljhanon mein mat paro,
Tumhare to gumanon se bhi yeh bohat aage ki baat hai.
بڑا یقین تھا مجھ کو مری محبت پر
بڑے یقین سے ہارا ہوں زندگی اپنی
Bada yaqeen tha mujhko meri mohabbat par,
Bade yaqeen se haara hoon zindagi apni.
پوری ہو جاتی اگر کوئی کہانی ہوتی
یہ محبت ہے میاں ! اِس میں کسک رہتی ہے
Poori ho jaati agar koi kahani hoti,
Yeh mohabbat hai miyan! Is mein kask rehti hai.
تیرے پل پل کی خبر ملتی ہے
اک پرندے سے دوستی ہے میری
Tere pal-pal ki khabar milti hai,
Ek parinde se dosti hai meri.
ہائے وہ تیری قسمیں تیرے وعدے
ابلیس بھی دیکھ کے مسکراتا ہوگا
Haye woh teri qasmein, tere waade,
Iblis bhi dekh ke muskurata hoga.
میرے سکون کی ابتدا سے لیکر
میری اذیت کی آخری حد ہو تم
Mere sukoon ki ibteda se lekar,
Meri aazat ki aakhri had ho tum.
دنیا میں محبت آج بھی برقرار ہے
کیونکہ ایک طرفہ پیار آج بھی وفادار ہے
Duniya mein mohabbat aaj bhi barqarar hai,
Kyunke ek tarafah pyaar aaj bhi wafa daar hai.
مقام محبت تم نے سمجھا ہی نہیی اے جان ورنہ۔۔۔۔
جہاں تک تیرا ساتھ ہے وہاں تک میری زندگی۔۔۔۔
Maqam-e-mohabbat tumne samjha hi nahin ae jaan warna,
Jahan tak tera saath hai wahan tak meri zindagi.
سارا شہر چھوڑ کر پسند کیا ہے تجھے
مت کر قبول مگر داد تو دے انتخاب کی
Sara sheher chhod kar pasand kiya hai tujhe,
Mat kar qubool magar daad toh de intekhab ki.
زندگی سے نمٹ رھا ہوں
موت کیا ہوتی ہے خدا جانے
Zindagi se nimat raha hoon,
Maut kya hoti hai Khuda jaane.
Urdu love shayari In english
Keh deti hoon waise, mera kehna nahin banta,
Iss dil ke alaawa tera kahin rehna nahin banta.
Samajhdaar hi karte hain ghaltiyan sahib,
Kabhi kisi paagal ko dekha hai mohabbat karte?
Ishq par zor nahin hai, yeh woh aatish Ghalib,
Ke lagaaye nah lage aur bujhaaye nah bane.
Tum haqeeqat-e-ishq ho ya fareb meri aankh ka,
Na dil se nikalte ho, na zindagi mein aate ho.
Zindagi bhar qarz daar rahenge tumhaare,
Kuch khoobsurat pal udhaar kar do naam humaare.
Pehle darr lagta tha maut ke naam se,
Ab darr lagta hai mohabbat ke naam se.
Kisi tarah ki ghalt fehmiyon mein mat aana,
Main aadatan bhi mohabbat se peesh aata hoon.
Haavi woh ho gaya hai yun meri zaat pe,
Jaise ke apne rang mein mujhe rang liya ho.
Tumko paane ki tamanna mein guzri hoti,
Ek jaan aur bhi hoti toh tumhari hoti.
Tum kya jaano mohabbat ke baare mein,
Mohabbat hi hai saza jis ki is duniya mein nahin milti hai.
Main koi aur nahin, aks numa hoon tera,
Tu mere saamne aane se gurezaan kyun hai?
Aye ishq, tum maut ke farishte ho kya,
Jis se bhi milte ho maar hi dete ho.
Ek teri muskurahat se meri duniya mein roshni hai,
Jab tum baat nahin karte toh zamaana veeran sa lagta hai.
Shikayatein saari jor-jor kar rakhi thi maine,
Galey apne lagake usne saara hisaab bigaad diya.
Main jab so jaun un aankhon pe apne hont rakh dena,
Yaqeen aa jaaye ga palakon tale bhi dil dhadakta hai.
Teri masoom nigahon ke taqaddus ki qasam,
Dil toh kya, rooh ne bhi tujh se mohabbat ki hai.
Ek chahat thi aap ke saath jeene ki,
Warna mohabbat to kisi aur se bhi hosakti hai.
Har dil ke muqaddar mein mohabbat nahi hoti,
Har shakhs se har shakhs wafa bhi nahi karta.
Barson se tumhare sheher mein aa kar thahra hoon,
Kabhi mujh se milne aa jate to kya jata.
Tum se hi thi, tum se hi hai,
Mohabbat jo thi mohabbat jo hai.
Hamari chand tasveeren kahin mehfooz kar lena,
Mustaqbil mein sawaal uthayega akhir woh tha kaisa.
Dil kyun khincha jata hai is ki taraf ae khuda,
Kya us ne bhi mujhe haasil karne ki dua mangi hai.
Ek mein hi nahi jurm mohabbat ka khatawaar,
halka sa tabassum bhi to shamil tha idhar se.
Tum par aati hai mohabbat kuch is tarah se,
muddaton jaagne ke baad jaise neend aaye.
Do chaar din ki dosti hum ko nahi qubool,
nafrat karo ya pyaar karo, hashr tak karo.
Nigaahen muntazir hain saj sanwar ke roobroo tere,
ke tere lafz mere husn ki takmeel karte hain.
Aye ishq, tujhe dekh liya dil se laga kar,
main tujh ko bachatay hue khud toot gaya hoon.
Tumhein bataun kya ke kya hai mohabbat?
Mere dil ka sukoon, meri rooh ka chain hai mohabbat.
Mohabbat aur maut ki pasand to dekho,
ek ko dil chahiye, doosre ko dhadkan.
Koi jurm nahi mohabbat jo duniya se chhupayein hum,
humne tumhein chaha hai hazaron mein kahin gaye.
Bhala paana bohot mushkil hai, sab kuch yaad rehta hai,
mohabbat karne wala uss liye barbaad rehta hai.
Hota hai raaz-e-ishq o mohabbat unhi se faash,
aankhein zubaan to nahi, magar be-zubaan bhi nahi.
Sab kuch mil jaata hai is duniya mein, sirf woh shakhs nahi milta jis se mohabbat ho.
Ab nahi ho sakti mohabbat kisi aur se, thori si to zindagi hai kis kis ko aazmaate rahenge.
Main ne miyaar mohabbat ko bhi qaaim rakha,
is ko chaha par use paane ki zidd nahi ki.
Hazaroon se talluq rakhna koi kamaal nahi,
ek talluq ko sachaai se nibhaana kamaal hai.
Ranjish hi sahi, dil hi dikhane ke liye aa,
aa phir se mujhe chhod ke jaane ke liye aa.
Kaun kehta hai mohabbat ki zubaan hoti hai,
yeh haqeeqat to nigaahon se byaan hoti hai.
Is raah-e-mohabbat ki tum baat na poocho,
anmol jo insaan thay be-mool bikhaye hain.
Naqab kya chhupaye ga shabab husn ko,
Nigah-e-ishq to patthar bhi cheerdeti hai.
Aap dawlat ke taraazu mein dilon ko tolein,
Hum mohabbat se mohabbat ka sila dete hain.
Woh teri muskurati aankhein, woh tera andaaz sanam,
Nahi lete deta chain ek pal bhi teri qasam.
Tujhko dawa hai mohabbat mein giraftaari ka,
La dikha paon mein “zanjeer” humare jaisi.
Tujhko pa kar bhi kuch nahi paaya,
Tere ho kar bhi, be sahare hain.
Baja yeh ronak mahfil magar kahan hain woh log,
yahan jo ahl-e-mohabbat ke jaan se hain.
Aur kya chahte ho is dil mein maqam apna,
Keh to diya hai meri kal kainaat ho tum.
Log kehte hain mohabbat ik baar hoti hai,
Main jab jab usse dekhun, mujhe har baar hoti hai.
Maktab-e-ishq ka dastoor niraali dekha,
Usko chhutti na mili jis ne sabak yaad kiya.
Dekh itna ke nazar hi lag jaye mujh ko,
Teri nazar se mar jana achha lagta hai.
Poocha jo uss ne karein ge pyaar mujhe kab tak,
Rakh ke dil pe haath kaha dhadke ga yeh jab tak.
Conclusion
I hope you are enjoying by reading Urdu love shayari. You can share with your family and friends who like Urdu love shayari. you can also visit us on Google by typing Urdu Adab cafe. if you want to read more Urdu love shayari , sad Poetry, Urdu quotes then go to website.
2 thoughts on “Urdu love shayari , love poetry in Urdu”