Best friendship poetry in Urdu captures the heart and soul of true companionship. In Urdu literature, poets have woven words that beautifully express the joys, trust, and unbreakable bonds of friendship. So without wasting your time let’s start reading best Urdu friendship poetry! .
مجھے پاگلوں سے دوستی کرنا پسند ہے
مصیبت میں کوئی سمجدار کام نہیں اتا
Mujhe paagalon se dosti karna pasand hai
Museebat mein koi samajhdar kaam nahi aata
میرے دوست ہیں میری پہچان اے خدا
میرے دوستوں کو ہمیشہ سلامت رکھنا
Mere dost hain meri pehchaan ae Khuda
Mere doston ko hamesha salaamat rakhna
جس سـے سچی دوستی کی جاتى ہــے اسکــی
عزت محبت سـے بھـی زیادہ کــی جاتى ہــے
Jis se sacchi dosti Ki jaati hai, us ki
Izzat mohabbat se bhi Zyada ki jaati hai
بچے وصیت پوچھتے ہیں رشتے دار حیثیت پوچھتے ہیں
یہ دوست ہی ہیں جناب جو خیریت پوچھتے ہیں
Bachay wasiyat poochte hain Rishta-daar haisiyat poochte hain
Yeh dost hi hain janaab Jo khairiyat poochte hain
دن ہے تو رات بھی ہوگی بادل ہے تو برسات بھی ہوگی
غم نہ کر میرے دوست زندگی ہے تو ملاقات بھی ہوگی
Din hai to raat bhi hogi Baadal hai to barsaat bhi hogi,
Gham na kar mere dost,Zindagi hai to mulaqat bhi hogi
دشمنوں کی جفا کا خوف نہیں
دوستوں کی وفا سے ڈرتے ہیں
Dushmanon ki jafa ka khauf nahi
Doston ki wafa se darte hain
تمھارے واسطے ہی جی رہے ہیں
ہماری چاہتوں کا مان رکھنا
Tumhare wastay hi jee rahe hain
Hamari chahaton ka maan rakhna
جن دوستوں سے برسوں کے مراسم تھے
گلے ملتے ہیں اب تو وہ بھی فاصلہ رکھ کر
Jin doston se barson ke maraasim the
Gale milte hain ab to woh bhi faasla rakh kar
مذاق اب کس سے کریں صاحب
پرانے یار اب احترام مانگتے ہیں
Mazaaq ab kis se karein saahib
Purane yaar ab ehteraam maangte hain
دوستی اک لازوال رشتہ ہے
جس سے ہیں بندھے میں اور تم
Dosti ek la-zawaal rishta hai
Jis se hain bandhe main aur tum
New Two lines Urdu shayari for friends
اے دوست دوستی کی لاج رکھنا
نیا دوست ملے ہمیں یاد رکھنا
Ae dost dosti ki laaj rakhna
Naya dost mile humein yaad rakhna
Naye jab dost bante hain, purane bhool jaate hain,
Naye jab dil dukhate hain, purane yaad aate hain
Thori der ki dosti mein hamesha khalis milta hai,
Insaan ka asli roop kuch arsa ke baad saamne aata hai
Waqt badal jaate hain, saath chhoot jaate hain,
Zindagi ke safar mein gehre se gehre dost chhorr jaate hain
Sab se behtareen dost woh hai
jo mushkil waqt mein bhi saath na chhode
Dost ki ghalti reet pe likho taake hawa use mita de
Aur dost ke ehsaan pathar pe likho taake koi use mita na sake
Mujhe yaaron ki lambi qataron se matlab nahi hai
Agar tum dil se mukhlis ho to bas ek tum hi kaafi ho
Duniya mein hazaar rishte banao lekin ek rishta aisa zarur banao
Ke jab hazaaron aap ke khilaf hon to woh ek aap ke saath ho
Kisi ne poocha is duniya mein aap ka kaun hai
Maine hans kar kaha mere yaar hi to meri duniya hain
Duniya badalti hai mausam ka rang dekh kar
Mere dost tu na badalna mera waqt dekh kar
2 lines friendship shayari in Urdu
Yeh kis ne kar diya mujhe sab doston se begaana
Mujhe ab dosti bhi dushmani maaloom hoti hai
Zindagi mein kuch kuch dost aise hote hain
Jin ko “Fee Sabeel Allah” thappar 👋 maarne ko dil karta hai
Doston ka intikhab soch samajh kar kijiye
Aap apne janaze ki pehli saf chun rahe hote hain
Waqt mile to hamari dosti ki kitaab khol kar dekh lena
Hamari dosti tumhein har dosti se lajawab milegi
Rishte hamesha wahi ache hote hain Jo dukh
mein hamesha aap ke saath khade rehte hain
Pahaad se pathar gira to koi nahi rok sakta
Magar meri dosti koi nahi tod sakta
Doston ke dost, yaaron ke yaar rahenge
Kal bhi sada bahar the, hamesha sada bahar rahenge
Naye jab dost bante hain, purane bhool jaate hain
Naye jab dil dukhaate hain, purane yaad aate hain
Khuda kare hamari dosti ko nazar na
Lage zamaane ki
Yeh zamaana doston ko rehne nahi deta
Arey tum mohabbat ki baat karte ho,
Humne to dost bhi matlabi dekhe hain
Best friendship poetry in Urdu
Dosti karna itna aasan hai jitna mitti par mitti se mitti likhna
Dosti nibhaana itna mushkil hai jitna pani par pani se pani likhna
Kabhi ghalti se to mere janazay ko kandha na dena
Kahin phir main tere sahare se zinda na ho jaao
Koi shareef nahi hota sab ke raaz hote hain
Jo bas uske best friend ko pata hote hain
Tum jo kehti ho ke chhod doon apne aawara doston ko
Kya tum mera janaza utha sakti ho?
Ae dost tere dum se to jeena hai
Warna is duniya mein bhi koi jeena jeena hai
Ae dost teri dosti misl-e-angoor hai
Milna to chahta hoon lekin manzil bohat door hai
Mat kar dosti pardesi se, uska thikana door hota hai
Bewafa to nahi hota lekin usay jana zarur hota hai
Waqt, dost aur rishte yeh woh cheezen hain jo humein muft mein milti hain
Aur humein inka ehsaas tab hota hai jab yeh humare paas nahi hote
In baarishon se dosti achi nahi Faraz
Kacha tera makaan hai, kuch to khayaal kar
Best friendship poetry in Urdu 2 lines 2024
Hazaron mein sirf woh ek khaas shakhs hi kaafi hai✋
Jo meri “ghair maujoodgi” mein meri burai na sun sake👋
Nibhaana jis ko kehte hain wo kuch hi logon ko aata hai
Bara aasan hai kehna mujhe tum se sacchi dosti hai
Saath zindagi mein agar achay dost ka ho
Zindagi jannat se kam nahi hoti
Urooj par to har koi milata hai haathon mein haath
Mushkilon mein jo saath chalein unhein hum dost kehte hain
Dum nahi kisi mein ke mita sake hamari dosti ko
Zang talwaron ko lagta hai, jigri yaron ko nahi
Waada to nahi karte ke dil mein utar jaayenge
Bhulana aasan nahi hoga kuch aisa kar jaayenge
Jab koi saath na de duniya mein ae dost
To humein pukar lena
Marte bhi honge tab bhi laut kar aayenge
Har qarz dosti ka ada kaun karega💝
Jab hum nahi rahenge to dosti kaun karega💝
Ae Khuda mere doston ko salaamat rakhna💝
Warna mere jeene ke liye dua kaun karega💝
Dost ke saath kabhi bhi aisi zid mat karna
Ke tum zid jeet jao aur apna behtareen dost haar jao
Jab se tum mujhe chhod gaye dost ho begaane ki tarah
Mujhe ghamon ne baant liya khazanay ki tarah
Dosti samait leti hai duniya bhar ke gham
Suna hai yaar achay hon to kaante bhi nahi chubhte
Dost be-shak ek ho lekin aisa ho
Jo alfaz se zyada khamoshi ko samjhe
Dushman ki mere samne baithne ki auqat nahi
Aur doston ke saath main chaal nahi chalta
Kuch salon baad na jaane kya sama ho ga
Na jaane kaunsa dost kahan ho ga
Phir milna hua to milenge yaadon mein
Jaise sookhay gulaab milte hain kitaabon mein
Waqt ki aandhi se toofaan badal jate hain
Zindagi ki raahon se insaan badal jate hain
Dosti kabhi khatam nahi hoti
Dosti karne walay insaan badal jate hain
Dosti ka rishta bohat hi khaas hota hai
Yeh woh rishta hai jo door reh ke bhi paas hota hai…
Dosti ka tohfa har kisi ko nahi milta
Yeh woh phool hai jo har baagh mein nahi khilta
Is phool ko kabhi tootne mat dena
Kyunke toota hua phool phir kabhi nahi khilta
Meri dosti ki tum kya aazmaish kar sako ge
Jaan se zyada kya farmaish kar sako ge
Meri dosti samundar ke paani ke barabar hai
Kya kabhi tum us paani ki pemaish kar sako ge?
Dost ke baare mein kabhi yeh na sochna
Ke woh kitna bewakoof tha
Balke yeh sochna ke uska tum par kitna aitbaar tha
Be-khabar ho gaye hain kuch dost
Ab hamari zarurat mehsoos hi nahi karte.
Jo har dam saath rehte the
Ab khairiyat bhi maaloom nahi karte
Dost woh nahi jo jaan de dein,
Asal dost woh hai jo barish mein apne dost ke aansoo pehchaan le
Gham ke saagar mein kabhi doob na jaana
Kabhi manzil na paao to toot na jaana
Zindagi mein agar mehsoos ho kami dost ki
Abhi hum zinda hain yeh bhool na jaana!
Dost ghari ki sooiyon ki tarah hone chahiye,
Koi bara to koi chhota, koi slow to koi fast,
Lekin jab kisi ke bara bajane ho, to sab saath hon
Karni Khuda se kuch fariyaad baqi hai
Humein un se kehni kuch baat abhi baqi hai
Maut aaye gi to kehna ruk ja
Abhi apne dost se mulaqat baqi hai
Chhote se dil mein gham bohot hain
Zindagi mein mile zakhm bohot hain
Maar hi daalti kab ki duniya humein
Kambakht doston ki duaon mein dum bohot hain
Mann mein aap ki har baat rahegi
Basti chhoti hai magar aabaad rahegi
Chahe hum bhula dein zamane ko dost
Magar aap ki yeh dosti hamesha yaad rahegi
Dooriyon se koi farq nahi padta
Baat to dilon ki nazdeekiyon se hoti hai
Dosti to kuch aap jaison se hai
Warna mulaqat to jaane kitnon se hai
جس شخص کے دشمن نہ ہوں سب دوست ہوں اس جیسا منافق کوئی نہیی کیونکہ دشمن اس کے ہوتے ہیں جو حق بات کہتا ہے👉👉
Jis shakhs ke dushman na hoon, sab dost hoon us jaisa munaafiq koi nahi
Kyunke dushman uske hote hain jo haq baat kehta hai👉👉
شریفوں میں کوئی چور نہیں ہوتا
خوابوں میں کوئی اور نہیں ہوتا
لائبریری میں کوئی شور نہیں ہوتا
اور ہم سے جو کرے دوستی
وہ لائف میں کبھی بور نہیں ہوتا
Shareefon mein koi chor nahi hota
Khwaabon mein koi aur nahi hota
Library mein koi shor nahi hota
Aur hum se jo kare dosti
Wo life mein kabhi bore nahi hota
برسوں بعد چاۓ والی کینٹین پر گیا
تو چاۓ والے نے کہا
“جناب چاۓ کے ساتھ کیا لیں گے؟
لمبا سانس لیا اور جواب دیا
پرانے یار ملیں گے کیا
Barson baad chai waali canteen par gaya
To chai waale ne kaha
“Janab chai ke saath kya lenge?”
Lamba saans liya aur jawab diya
Purane yaar milenge kya?
ندیوں کی دوستی سمندر سے ہے
بادل کی دوستی عنبر سے ہے
چاند کی دوستی ستاروں سے ہے
باغوں کی دوستی بہاروں سے ہے
پھولوں کی دوستی خشبو سے ہے
امیدوں کی دوستی دل سے ہے
اور ہماری دوستی صرف آپ سے ہے
Nadiyon ki dosti samundar se hai
Baadal ki dosti amber se hai
Chaand ki dosti sitaron se hai
Baghon ki dosti baharon se hai
Phoolon ki dosti khushboo se hai
Umeedon ki dosti dil se hai
Aur hamari dosti sirf aap se hai
جس کی پاس کچھ بھی نہیں ہے
اس پر دنیا ہنستی ہے
اور جس کی پاس سب کچھ ہے
اس پر دنیا جلتی ہے
میری پاس تم جیسا دوست ہے
جس کے لیے دنیا ترستی ہے
Jis ke paas kuch bhi nahi hai
Us par duniya hansti hai
Aur jis ke paas sab kuch hai
Us par duniya jalti hai
Mere paas tum jaisa dost hai
Jis ke liye duniya tarasti hai
Conclusion:
These glimpses into the best friendship poetry in Urdu remind us how special our friends truly are. Through heartfelt verses, we celebrate the laughter, support, and memories that define our closest relationships. Share these poems with your friends to show them how much they mean to you.
Read more best friendship poetry in Urdu on Google.
Also read more: