Love poetry in Urdu 2 lines Romantic shayari
Are you searching for best love poetry in Urdu? I sure your search will be end here.Love shayari in Urdu, or “Ishq ki Shayari,” captures the essence of romance, longing, and heartbreak, often weaving these emotions into words that resonate deeply with readers.
تمہارے سوا محبت نہیں کسی سے
پر یہ تم سے کہہ نہیں سکتے
Tumhare siwa mohabbat nahi kisi se
Par yeh tumse keh nahi sakte
میں کیا کہوں کے اس کا ساتھ کیسا ہے
وہ ایک شخص پوری کائنات جیسا ہے
Main kya kahoon ke uska saath kaisa hai
Woh ek shakhs poori kainaat jaisa hai
جو حیات تھی تجھے وار دی
اب عروج کیا اور زوال کیا
Jo hayat thi tujhe waar di
Ab urooj kya aur zawal kya.
دل تو عاشقوں کے پاس ہوتا ہے♥
ہم تو بادشاہ لوگ ہیں جگر رکهتے
Dil to aashiqon ke paas hota hai♥
Hum to badshah log hain jigar rakhte
تیرے دیدار کے لمحات بہت قیمتی تھے
ہم اگر آنکھ جھپکتے تو خسارا کرتے
Tere deedar ke lamhaat bohot qeemti the
Hum agar aankh jhapakte to khsaara karte
زندگی کے اداس لمحوں میں
بے وفا دوست یاد آتے ہیں
Zindagi ke udaas lamhon mein
Bewafa dost yaad aate hain
تو میری عمر کے سمندر میں
زندگی کا آخری جزیرہ ہے
Tu meri umar ke samandar mein
Zindagi ka aakhri jazeera hai.
Urdu poetry captures the essence of love and longing, often reflecting the intensity of emotions experienced in relationships. Just as the beauty of well-crafted verses connects deeply with the heart, people often seek passion and intensity in various aspects of life. Interestingly, trenbolone for sale has become a point of discussion for those aiming to achieve peak performance, demonstrating how diverse passions—from poetry to personal goals—drive individuals. These poetic expressions, much like personal ambitions, reveal a universal desire for connection and fulfillment.
Also read love poetry in Urdu…
بس یوں ہی چھیڑ چھاڑ کرتا ہوں
یار سے کیا لڑائیاں مولا…..!!!
Bas yun hi chhed chhad karta hoon
Yaar se kya laraaiyan Moula…!!!
او یار ہمیشہ چھڈ دیندا اے…
جس یار تے ڈھیر اعتبار ہووے…
O yaar hamesha chhad denda ae…
Jis yaar te dhair aitbaar howe…
ﺗﻌﺰﯾﺖ ﮐﮯ ﻟﺌﮯ ﺁﺋﯿﮟ ___! ﻧﺎ ،،
ﻣﯿﺮﺍ ﺍﻥ سے ﺗﻌﻠﻖ ﻣﺮﮔﯿﺎ ﮨﮯ …!
Taziyat ke liye aayein…! Na,
Mera un se talluq mar gaya hai…!
آنچل کے تقدس کو بحال بھی رکھتا ہے
ہر مرد تو وحشی درندا نہیںہوتا
Aanchal ke taqaddus ko bahaal bhi rakhta hai
Har mard to wahshi darinda nahi hota.
تم کو آتا ہے پیار پر غصہ
مجھ کو غصے پہ پیار آتا ہے
Tum ko aata hai pyaar par gussa
Mujh ko gusse pe pyaar aata hai.
میں ایک درد ہوں صاحب
اور بھلا درد کون سہتا ہے
Main ek dard hoon sahib
Aur bhala dard kaun sahta hai.
Heart Touching Deep love poetry in Urdu
Shayari in Urdu ki khoobsurati sirf iski lambi nazmon ya ghazalon mein nahi, balki choti choti do-liner shayariyon mein bhi waazeh hoti hai. Yeh mukhtasir ashaar na sirf gheri baat ko asaan alfaaz mein bayaan karte hain, balki sunne wale ke dil ko bhi choo jate hain.
Suna hai aaj uski aankhon mein aansu aa gaye
Bachon ko sikha rahi thi mohabbat aise likhte hain
Maine di hai isharon mein ijaazat tujhko
Maangne se na miloon to chura lena mujhko
Mohabbat ki raahon mein chalna sambhal kar
Yahan jo bhi aaya hai gaya haath mal kar
Tabeeb kya karega mera ilaaj-e-mohabbat Afzal
Ek nazar hi kaafi hai tere deedar ki
Ho jao meri itni mohabbat doonga tumhein
Log tarseinge tere jaisa naseeb paane ko
Uljheinian bhi usse dekhein to sulajh jaati hain
Yaar woh shakhs nigahon se girah kholta hai
Read romantic 2 lines shayari….
Bhar aayein na aankhen to ek baat kahoon
Ab tum se bichharne ke imkaan bohot hain
Sun ke tera naam aankhen khol deta tha koi
Aaj tera naam le ke koi ghaafil ho gaya.
Best 2 Lines Love poetry in Urdu text
Love poetry in Urdu SMS aik naya andaaz hai mohabbat ke izhaar ka, jahan aashiq apne dil ke ehsaasat ko chote aur asaan peghamaat ke zariye apne maashooq tak pohnchate hain. Ye peghamaat, jo aksar do-liner shayari hoti hain, mobile phones aur social media ke zariye turant dil se dil tak ja pohonchti hain.
Dheeme suron mein koi madhur geet chheiriye
Thehri hui hawaon mein jaadu bakheiriye
Kisi aur tareeke se bhi mil jaati hai kya mohabbat
Humein to duaaon se aage kuch bhi nahi aata
Kabhi to khatam hongi yeh udaasiyan yeh tanhaiyan
Ek din to acha hoga chaar din ki zindagi mein
Ab kaun khud parast sataye ga aapko
Kis bewafa ke naaz uthaya karegi aap.
Hum rakhte hain talluq to nibhaate hain umar bhar
Hum se badle nahi jate yaar bhi aur pyaar bhi.
Naseehatein humein karte hain tark-e-ulfat ki
Yeh khairkhwah humare kidhar se aanke
Us ne bhi loot ke aane mein umar ganwa di
Jis ko…so baar kaha shaam na hone dena.
Dil ke rishte qismat se milte hain warna 💕
Mulaqat to hazaron se hoti hai.
Read best love poetry in Urdu 2 lines…
Koi batlao ek umar ka bichhda mehboob,
Ittifaqan kahin mil jaye to kya kehte hain?
Yeh mere ishq ki majburiyan ma’az Allah
Tumhara raaz tumhein se chhupa raha hoon main.
Mujhe ab tum se dar lagne laga hai
Tumhein mujh se mohabbat ho gayi kya.
Mohabbat aik aisa khubsurat jungle hai
Jahan bahadur sher aik harni se maare jate hain
Kab nahi naaz uthaye hain tumhare maine
Dekho aanchal pe sajaye hain sitare maine.
Tum mukhatib bhi ho qareeb bhi ho
Tum ko dekhein ke tum se baat karein.
deep love poetry in urdu copy paste
Urdu shayari for love apni rangat aur dilkash alfaaz ke liye mashhoor hai. Is shayari mein aashiq apni mohabbat aur judai ke dard ko alfaaz ke zariye izhaar karta hai, jo sunne walon ke dil ko choo jata hai. Ye shayari aksar ghazalon, nazmon, aur mukhtasir ashaar ke zariye pesh ki jaati hai.
Gar sukoon chahiye is lamha-e-mojood mein bhi
Aao is lamha-e-mojood se baahar niklein
Main bhi graduate hoon tum bhi graduate
Ilmi mubahise hon zara paas aa ke lait.
Tujhe bhoolne ke liye do nafil ada kiye
Lekin dua mein phir tujhe hi maang baithe.
Dharkanein beqabu ho jati hain
Woh ek nazar jab utha kar dekhein.
Jab qaid kiya tha to par kyun kaate mere
Yaqeen nahi tha kya tumhein apni zanjeeron pe.
2 line urdu poetry romantic sms copy paste
ذرا سوچ کے دل توڑا کرو صاحب
ہر گناہ کی بخشش نہیں ہوتی……
Zara soch ke dil toda karo sahab
Har gunaah ki bakhshish nahi hoti
آنکھیں تک نچوڑ کر پی گئے۔۔۔
تیرے غم کتنے پیاسے تھے۔۔۔
Aankhen tak nachod kar pee gaye
Tere gham kitne pyaase the
وہ مجھے زندہ دیکھ کے بولے
بددعا نہیں لگتی ………..تم کو!
Woh mujhe zinda dekh ke bole
Badd dua nahi lagti tumko!
وہ کتابوں میں درج ہی نہیں تھا!
*جو سکھایا سبق— زمانے نے!!
Woh kitaabon mein darj hi nahi tha
Jo sikhaya sabaq zamaane ne!
زندگی کب کی خاموش ہو گئی
دل تو بس عادتاً دھڑکتا ہے
Zindagi kab ki khamosh ho gayi
Dil to bas aadatan dhadakta hai
اے زندگی! مجھے معاف کرنا
رسوا کیا تجھے! اوروں کیلئے
Ae zindagi! Mujhe maaf karna
Ruswa kiya tujhe! Auron ke liye
کوئی ہمارا بھی تھا
خدا جانے کب کی بات ہے
Koi hamara bhi tha
Khuda jaane kab ki baat hai
Mujh se panga lene se pehle das baar sochna
Taake…itni der mein main bhaag jaoon
Sajne sanwarne ki tumhein kya zaroorat hai
Tum to saadi mein bhi qatl-e-aam karti ho
Kaun dekhta hai ab kisi ko seerat-e-akhlaq ki nazar se
Sirf khoobsurti ko poojte hain naye zamaane ke log
Main ne dil ke darwaze par likha andar aana mana hai
Ishq muskurata hua bola maaf karna main andha hoon
Sab hi to badal gaye ab
Apna bhi haq banta hai
Har kisi ko raas aa jaayein
Itne aam nahi hum
Aap ke dil mein qaid hain saansen hamari
Dhadakte raha karo warna mar jaayenge hum
Mohabbat karne walon ke ajeeb dhang hote hain
Kabhi saada kabhi disco kabhi malang hote hain
Isi khayal mein guzri hai shaam-e-dard aksar
Ke dard jab had se badega to muskuraoonga
Chalo achha hua woh kisi aur ka ho gaya
Khatam hui fikr usse apna banane ki
Ek baar phir se rang udhenge raqeebon ke
Hum laut aaye hain mehfil mein dobara
Mila tha koi…aur phir bichhad gaya
Ek lamha aaya tha aur phir guzar gaya
Itni kashish to ho…nigah-e-shauq mein
Idhar dil mein khayal aaye udhar woh beqaraar ho jaaye
Wah Ghalib tere ishq ke fatwe bhi niraale hain
Woh dekhein to ada…hum dekhein to gunaah
romantic love poetry in urdu text copy and paste
Pyaar, mohabbat, naaz, nakhre, sataana, rulana, manaana
Sar aankhon pe magar khudaara mohabbat mein shaamil koi teesra na ho
Na dil ke jazbaat alag…na mohabbat ke andaaz alag
Thi baat lakeeron ki…tere haath alag mere haath alag
Yeh baarish ka mausam yeh thandi hawaein
Na jaane aasman pe kis ki mohabbat ki adalat lagi hai
Mohabbat ka bhi kitna niraala hai
Mil jaye to biwi na mile to baaji
Hum maut se ishq karne wale aashiq hain sahab
Hum se zindagi ka sauda mat karo
Zindagi bhar khud ko baadshah samajhte rahe
Ehsas tab hua jab ek shakhs se pyaar manga faqeer ki tarah
Wallah kya kashish thi ke mat poochhiye sahab
Mujh se yeh dil lad pada, mujhe yeh shakhs chahiye
Main muskara bhi pada hoon to kyun khafa hain yeh log
Ke phool tooti hui qabr par bhi khilta hai
Kitne chaalak hain kuch mere apne bhi
Tohfe mein ghadi to di magar kabhi waqt nahi diya
Haqeeqaton ki chadar mein lipte hain afsaane apne
Dost to dost, dushman bhi hain deewane apne
Dheeme suron mein koi madhur geet chhediye
Thehri hui hawaon mein jadoo bikheriye
Conclusion
love poetry in Urdu continues to thrive, especially through new media like social networks and messaging apps. Young lovers share their favorite verses via SMS and social media, keeping the tradition alive and relevant.
I hope you really enjoyed these romantic shayari in Urdu text. You can also read more Urdu shayari on Google. If you want to read love poetry, sad poetry , Urdu quotes and sad love poetry then visit on Urdu Adab Cafe.
Read
4 thoughts on “Love poetry in Urdu 2 lines Romantic shayari”