Tea Poetry in Urdu text
Chai ki khushbu, is ki garmi aur narmi, aur woh khaas ehsaas jo har ghont ke sath milta hai, Urdu shayari ka aik ahem hissa ban chuka hai. Chai ki shayari hamesha se shairon ke dilon ko chooti aayi hai, aur is ne Urdu adab mein aik munfarid maqam hasil kiya hai.
لہجہ ذرا ٹھنڈا رکھیں صاحب
گرم تو مجھے صرف چائے پسند ہے
Lehja zara thanda rakhein sahib
Garam to mujhe sirf chai pasand hai
ہم نے چائے بنا رکھی ہے
تم بس ساتھ پرانا لے آؤ
Hum ne chai bana rakhi hai
Tum bas saath purana le aao
بچا کر رکھی ہے تیرے لیے چائے
شاید یہی سن کر تو ملاقات کو آئے
Bacha kar rakhi hai tere liye chai
Shayad yahi sun kar tu mulaqat ko aaye
آپ نے میری پیالی چکھ لی محترم
ہاۓ میں نے چاۓ پھیکی پینی تھی
Aap ne meri piyali chakh li mohtaram
Hayee maine chai pheeki peeni thi
کاش اس ٹھنڈ میں میسر ہو جائے
تیرے ہاتھ سے بنی گرم گرم چائے
Kaash is thand mein mayassar ho jaye
Tere haath se bani garam garam chai
تیرے پیار میں ہوش گنوا بیٹھا ہوں
چائے بناتے ہوئے ہاتھ جلا بیٹھا ہوں
Tere pyar mein hosh ganwa baitha hoon
Chai banate hue haath jala baitha hoon
آج چائے کڑوی تھی بہت
شاید تیرا لہجہ چکھا ہو گا
Aaj chai karwi thi bohat
Shayad tera lehja chakhha hoga
چائے میں ڈال کے ہم تیز پتی
تیرے لہجے کی کڑواہٹ پیتے ہیں
Chai mein daal ke hum taiz pati
Tere lehje ki karwahat peetay hain
چائے کا احترام کیا کریں
یہ تمام مشروبات کی مرشد ہے
Chai ka ehtram kiya karain
Yeh tamam mashroobat ki murshid hai
Chai Poetry in Urdu & Chai Shayari
Chai ki shayari aur chai ki shayari aik aisi sanf hai jo chai ki mohabbat ko alfaz mein qaid karti hai. Chahe mohabbat ka izhar ho, tanhai ka ehsaas ho, ya doston ke sath beetay lamhay, chai ki shayari in sab ko khubsurti se bayan karti hai.
Khamosh dilon ki sada hoti hai
Ab hum aap ko kya batayein chai kya hoti hai
Mujhe roknay ka koi naya bahana bana lena
Main janay ki zid karoon to tum chai bana lena
Fursat mili to aayenge aur peenge zaroor
Suna hai chai banati ho to fiza mehak uthti hai
Chai ke cup mein nazar aati hai soorat teri
Hum itminan se tujhe chuskion mein peetay hain
Badh jaati hai kuch aur bhi mithaas
Teri yaad mila kar jo pee loon kabhi chai
Kya main is ko likh kar bhejoon “Aao chai peetay hain”
Kya is ko maloom nahi ke mausam kitna acha hai?
Tumhain kya pata dil-e-naazuk par kya guzartee hai
Akele jab chai peeni parti hai
Tumhare haath ki chai tumhare saath ki chai
Yahi do pal ghaneemat hain, mohabbat bhaar mein jaye
Best Tea Poetry 2 Lines
Chai ki shayari mein do linon mein mukammal ehsaasat ka izhar kiya jata hai. Yeh mukhtasir ashaar aksar dil ki gehraiyon ko chhootay hain aur qariin ko chai ki mohabbat mein mubtala kar detay hain.
Jab jab tabiyat meri ghabraai hai
Tab tab chai hi bas yaad aayi hai
Apne haathon se jab chai bana di usne
Dil mein kuch aur mohabbat badha di usne
Chai peene walon ka mizaaj bhi chai ke zayqe ki tarah
Meetha, khushbu daar, aur be had mohabbat bhara hota hai
Kisi ne aana bhi chaha to bhaga diya hum ne
Basa kar chai ko dil mein curfew laga diya hum ne
Khayaal-e-yaar ko mann mein bitha kar chai pee
Zara sa roye, zara muskara kar chai pee
Tea poetry in urdu text
Mat pooch saqi, un ke maikhane ka pata
Un ke sheher ki chai bhi nasha deti hai
Usne kaha chai mein cheeni kitni ho
Maine kaha ek ghont pee kar deejiye
Chai meri zindagi mein laazim hai aise
Aashiq ke liye ho mehboob ka deedaar ho jaise
Log pata nahi kyon dil pe marte hain
Halaanke chai zyada maze ki hoti hai
Phat raha hai sar dard se aur phir
Sitam yeh ke chai bhi poochta nahi koi
Conclusion
Urdu shayari mein chai par mabni ashaar ka aik wasee zakhira mojood hai. Yeh ashaar na sirf chai ki ahmiyat ko bayan karte hain balkay is ke sath jurray huay ehsaasat ko bhi ujagar karte hain.
You can also read more Tea Poetry in Urdu text on Google also.
Read more :-