14 August Poetry is very important topic for Poetry lover of Pakistan.Pakistani poets have always given place to the spirit of patriotism in their poetry. On the occasion of August 14, various poets have described the love of the country, the memory of sacrifices and the value of freedom in their words. Be it the poetry of Faiz Ahmad Faiz or the poems of Habib Jalib, they all have the same message: value your homeland, protect it and lead it on the path of development.so let’s start reading 14 August Poetry in Urdu text.
اپنا میعار ہے شاہوں سے بغاوت کرنا
الجھتا ہوں فقط وطن کے غدارں سے
Apna miyaar hai shahon se baghawat karna
Uljhta hoon faqat watan ke ghaddaron se
میری ہر نسل تجھ پر قربان
اے میرے پیارے وطن
Meri har nasal tujh par qurban
Ae mere pyare watan
مدہوش نہیں بیدار ہیں ہم
ہر آہٹ پر تیار ہیں ہم
سمجهے نہ کوئی غافل ہم کو
وطن کے پہرے دار ہیں ہم
madhosh nahi bedaar hain hum
har aahat par tayar hain hum
samjhe na koi ghaafil hum ko
watan ke pehredar hain hum
چاند روشن چمکتا ستارہ رہے
سب سے اونچا یہ پرچم ہمارا رہے
chaand roshan chamakta sitara rahe
sab se ooncha yeh parcham hamara rahe
غلط بات ہے ہم وفاداری نہیں کرتے
محبت بانٹتے ہیں ہم ادکاری نہیں کرتے
برا وقت جب آتا ہے وطن پر اے وطن والوں
ہم اپنی جان دینے میں غداّری نہیں کرتے
ghalat baat hai hum wafadari nahi karte
mohabbat baantte hain hum adakari nahi karte
bura waqt jab aata hai watan par ae watan walo
hum apni jaan dene mein ghaddari nahi karte
watan ki aabroo rakhna hai humare khoon mein shaamil
yeh kis ne keh diya ki wafadar nahi hum
hum apne watan se kitna ishq karte hain yeh tumhein dikhayenge
waqt aane par dushman ko mitti mein milayenge
hum apne watan ke liye mushkil se mushkil kaam bhi kar dikhayenge
hum jaan ki bazi laga kar apne parcham ko sab se awwal dikhayenge
ae watan hum ahl watan hain
jo zamane wale nahi kehte waqt aaye to sabit karte hain
har kisi ko mayassar nahi shahadat ka rutba
yeh azm hai apni mitti ke liye qurban hone walon ka
main khud gharaz nahi mere aansoo parkh kar dekho
mujhe fikr chaman hai gham aashiyan nahi
ya Allah hamare mulk ki hifazat farma
is ki taraf uthne wali har buri nazar ko neist o nabood karde
Ameen sum ameen
jom aan apne bete ko watan par qurban karti hai
watan ki fazaen unhein salam karti hain
14 august poetry in urdu 2 lines
14 August ka din Pakistan ki tareekh mein aik numaya maqam rakhta hai, aur is din ki munasibat se 14 August poetry in Urdu 2 lines nihayat maqbool hai. Youm-e-Azadi ke mauqe par hub-ul-watni ki shayari awaam mein watan ki mohabbat aur qaumi jazbe ko ujagar karti hai.
da’wa jo karta tha gulistan ki hifazat ka
usi ne to har shaakh chaman ko noch rakha hai
Watan se ishq karna koi hum se seekhe
Hum ne to apne lahoo se bhi apne watan ke naam likhe
Khare the hum bhi kismet ke darwaze par
Log daulat par gire aur hum ne watan maang liya
ae watan hum hain teri shama ke parwano mein
zindagi hosh mein hai josh hai diwano mein
saboot kya doon tujhe apne watan parasti ka ae zaalim
paani na ho to wuzu bhi isi mitti se karte hain
watan ka ishq ragon mein daur raha hai
jabhi to dushman apne iraade chhod raha hai
yun hi nahi milti yeh rang birangi wardi
kaleja kaat ke apno ko bhulana padta hai
sajde mein hum ne gir kar maangi hai yeh dua
mere watan ko salamat rakhna mere Allah
Ameen
log kehte hain hum lete hain mu’awza
bhala batao lahoo bhi kahi bikta hai kya?
barbaad kar diya humein pardes ne magar
maan sab se keh rahi hai ke beta maze mein hai
yeh din humein un aziyaton aur un jidd-o-jahad ki yaad dilata hai
jo hamare aba o ajdaad ne humein aaj ki azaadi faraham karne ke liye ki
hoga mashhoor husn shehzadon ka zamane mein
magar pehn kar wardi hum bhi kamaal lagte hain
14 August Poetry for students
14 August poetry for students jo nai nasal ko Pakistan ki tareekh aur azadi ki ahmiyat se roshnas karati hai. Yeh mukhtasir ashaar aur nazmein, jinhein hum 14 August poetry in Urdu 2 lines ke tor par jante hain, Pakistani awaam ke dilon mein josh o walwala bhar deti hain aur humein apni azadi ki qadr karne ki talqeen karti hain.
woh log jinhu ne khoon de kar chaman ko zeenat bakhshi hai
do chaar se duniya waaqif hai gumnam na jaane kitne hain
nikal pade hain sar par kafan bandh kar
ya Allah
watan ke beton ki to hifazat karna
kitne shaheedon ne apna lahoo is zameen par bahaaya hai
tab jaake yeh watan wujood mein aaya hai
baroz-e-hashr poochenge kya le kar aaye ho mian
adab se arz karunga watan par mit aaya hoon
Insha Allah
ek tooti hui zanjeer ki faryaad hain hum
aur duniya yeh samajhti hai ke azaad hain hum
kyon humein log samajhte hain yahan pardesi
ik muddat se isi shehar mein aabaad hain hum
zindagi se kya lena hai shahadat hai tan apna
sarhadon par dafn ho gaye wardi hai kafan apna
poochhti tum se hoon ae aman ke da’we daron
yeh sawaal ab mere ehsas mein rehta kyon hai
paani sasta hai to uska tahaffuz kaisa
khoon mehnga hai to har shehar mein behta kyon hai
Jo maan watan par apna beta karti hain qurban
Use jannat ki hawaon ka rehmat bhara salam
Mere watan Khuda tera nigehbaan
Mere watan Khuda salamat rakhe
Ta qayamat rakhe
Jashn-e-Azadi manane walon itne hi parcham khareedna jin ki ta’zeem kar sako yeh shaheed ke jism ki zeenat hota hai koore ya kachre ke dheir ke nahi
Pardes ka dukh tum kya jano des walon
Hum to apne ghar bhi jate hain mehman ban kar
Hum is watan ke liye jaan ki baazi bhi laga denge
Watan ke dushman ko mitti mein mila denge
azaadi ki kabhi shaam hone nahi denge
shaheedon ki qurbani badnaam hone nahi denge
Conclusion
14 August ki shayari hamari qaumi tareekh ka aik aham hissa hai jo humein apne mazi ki qurbanion ki yaad dilati hai aur hamare dilon mein watan ki mohabbat ka jazba bedar karti hai. Yeh shayari na sirf hamari azadi ki qadr karne ki talqeen karti hai balki humein mustaqbil ke liye aik naye azm aur hoslay ke sath agay barhne ka dars bhi deti hai. 14 August poetry in Urdu 2 lines aur 14 August poetry for students jaise ashaar aur nazmein hamare qaumi jazbe ki akaasi karte hain aur humein apne mulk ki taraqqi aur khushali ke liye muttahid hone ka paigham deti hain. Youm-e-Azadi ka din humein yeh moqa faraham karta hai ke hum apne watan ke liye mazeed mehnat karein aur ise aik mazboot aur khushhal mulk banayein.
Also read more 14 August Poetry in Urdu 2 lines on hamari web.
Also Read more on our website:-
- URDU poetry
- Love poetry
- Sad poetry
- Mohabbat Poetry
- Barish poetry
- Ishq poetry
- Bewafa Poetry
- Allama Iqbal poetry
- Jhon Elia poetry
- Ahmed Faraz poetry
- Islamic poetry