Urdu zindagi shayari
Urdu Zindagi shayari is a genre that presents us the bitterness and sweetness of life in beautiful words. This poetry not only describes our feelings but also enlightens us with the realities of life.
Life poetry describes various aspects of life, such as love, separation, joy, sorrow and philosophy of life. These poems highlight our inner feelings and give us a chance to see life from a new perspective.
Hasrat kuch aur waqt iltija kuch aur,
Kaun jee paata hai apne mutabiq zindagi yahan.
Muft mein nahi seekha udaasi mein muskurane ka hunar,
Humne badle mein zindagi ki har khushi tabaah ki hai.
Ajab tarah se guzaari hai zindagi humne,
Jahan mein reh ke na kaar-e-jahan ko pehchaana.
Kabhi to khatam hongi yeh udaasiyan yeh tanhaaiyan,
Ek din to acha hoga chaar din ki zindagi mein?
Zindagi ke saath khelne mein bohot mazaa aa raha hai sahab,
Yeh mujhe jeetne nahi deti aur main haar maanne ko tayyar nahi.
Yun to marne ke liye zeher sabhi peete hain,
Zindagi tere liye zeher piya hai maine.
Kar ke iske naam yeh saari zindagi,
Baithe hain ek ujhde zameendar ki tarah.
Kitni sachai se mujh se zindagi ne keh diya,
Tu nahi mera to koi doosra ho jaayega.
Jee laga rakha hai yun taabeer ke oham se,
Zindagi kya hai mian bas ek ghar khwabon ka hai.
Aksar kitaabon ke safhe palat kar sochta hoon main,
Aye kaash palat jaaye yun zindagi to kya baat hai.
Yeh chaar din ke tamaashe hain aah duniya ke,
Raha jahan mein Sikandar na aur na Jam baaqi.
Socha hi nahi tha ke zindagi mein aise bhi fasaane honge,
Rona bhi zaroori hoga aur aansoo bhi chhupane honge.
Mujhe tera saath zindagi bhar nahi chahiye,
Balke jab tak saath hai tab tak zindagi chahiye.
Khwahish zindagi bas itni si ab hai hamari,
Ke saath tera ho aur zindagi kabhi khatam na ho.
25+ Best Urdu Zindagi shayari
The poetry of life helps us understand the philosophy of life. These poems are a means of unlocking the secrets hidden in the depths of life.here you can read interesting urud Zindagi shayari with images in Urdu.
Hum ko bhi khushnuma nazar aayi hai zindagi,
Jaise saraab door se darya dikhayi de.
Zindagi choti si hoti hai,
magar is mein bhi log jeene nahi dete.
Padhi hain yun to kitaabein hazaaron magar,
Haqeeqat mein jo sabaq mile apni zindagi se mile.
Zindagi naam hai ek jehd-e-musalsal ka Fana,
Raahro aur bhi thak jaata hai aaraam ke baad.
Ghor kiya jab zindagi ke falsafon par,
Baat mitti se shuru ho kar mitti mein jaamli.
Zindagi ek sawaal hai jiska jawab maut hai,
Maut bhi ek sawaal hai jiska jawab kuch nahi.
Kuch aur tarah ki mushkil mein daalne ke liye,
Main apni zindagi aasan karne wala hoon.
Kuch zyada khwahish nahi aye zindagi tujh se,
Bas mera agla qadam pichhle se behtar ho.
Hai ajeeb sheher ki zindagi na safar raha na qayaam hai,
Kahin kaarobaar si dopahar kahin bad mazaaj si shaam hai.
Gharaz ke kaat diye zindagi ke din aye dost,
Woh teri yaad mein hoon ya tujhe bhulane mein.
Ahl-e-dil kewaaste paighaam ho kar reh gayi,
Zindagi majbooriyon ka naam ho kar reh gayi.
Itni dilkash kahan thi yeh zindagi,
Humne jab tak aap ko chaaha na tha.
Zindagi zinda dili ka hai naam,
Murda dil khaak jiya karte hain.
Ghalti zindagi ka ek warq hai lekin rishta poori kitaab hai,
Kabhi bhi ek warq ke liye kabhi bhi poori kitaab ko zaya na karna.
Here you can read best urdu poetry.
کچھ دن سے زندگی مجھے پہچانتی نہیں
یوں دیکھتی ہے جیسے مجھے جانتی نہیں
Kuch din se zindagi mujhe pehchaanati nahi,
Yun dekhti hai jaise mujhe jaanti nahi.
کچھ لوگ زندگی ہوتے ہیں
مگر زندگی میں نہیں ہوتے
Kuch log zindagi hote hain,
Magar zindagi mein nahi hote.
زندگی جن لوگوں کو خوشی نہیں دیتی
ان کو تجربہ دیتی ہے
Zindagi jin logon ko khushi nahi deti,
Un ko tajurba deti hai.
✨❣️کیا ملے گا دل میں نفرت رکھ کر ❣️
🥀🥀🥀
❣️تھوڑی سی زندگی ہے ہنس کر گزار دے♥️
Kya milega dil mein nafrat rakh kar,
Thodi si zindagi hai hans kar guzaar de.
درد بڑھ کر دوا نہ ہو جائے
زندگی بے مزا نہ ہو جائے
Dard badh kar dawa na ho jaaye,
Zindagi be-maza na ho jaaye.
زندگی کی بساط پر باقیؔ
موت کی ایک چال ہیں ہم لوگ
Zindagi ki bisaat par Baaqi,
Maut ki ek chaal hain hum log.
پھول بن کر مسکرانا زندگی ہے
مسکرا کے غم بھلانا زندگی ہے
Phool ban kar muskurana zindagi hai,
Muskura ke gham bhulana zindagi hai,
زندگی نام دیا تجھ کو
اب بتا کیسے اعتبار کروں
Zindagi naam diya tujh ko,
Ab bata kaise aitbaar karoon.
موت بر حق ہے لیکن
مرنے تک تو جینے دو
Maut bar haq hai lekin,
Marne tak to jeene do.
عشق کو ایک عمر چاہئے اور
عمر کا کوئی اعتبار نہیں
Ishq ko ek umr chahiye aur,
Umr ka koi aitbaar nahi.
زندگی کا اک مختصر سا قصہ ہے
ملاقات محبت ملال اور پھر موت
Zindagi ka ek mukhtasir sa qissa hai,
Mulaqat, mohabbat, malaal aur phir maut.
چھوٹی سی زندگی نے بڑا سبق دیا
رشتے سب سے رکھو امید کسی سے نہیں
Choti si zindagi ne bada sabaq diya,
Rishte sabse rakho umeed kisi se nahi.
Conclusion
The urud Zindagi shayari gives us an opportunity to see and understand life from different angles. It exposes us to the realities of life and is the best means of expressing our emotions.you also visit rekhta for more POETRY.
You can also read love poetry ❤️, sad poetry in urdu text and barish poetry in urdu 2 lines on Google.
1 thought on “Urdu zindagi shayari & Best zindagi Poetry”